Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Joint Pain

Profile Image
Dr. (Prof) Amite Pankaj AggarwalOrthopedic Doctor • 27 Years Exp.MBBS, MS - Orthopaedics, DNB - Orthopedics
lybrate_youtube

Hello,

Aaj hum joint pain ke bare me baat krenge. Knee joint jisko ghutna bhi bolte hain. Ye bhut hi common problem hai. Hmare pas bhut sare patients aate hain or iska karran puchte hain. Young patients bhi puchte hain ki isko hum kaise prevent kar skte hain taki hume old age me problem na ho. Hmare body ka load sabse jyada knee joints pe hi pdta hai. Agar aap overweight hain to apko knee pain hone ke chances badh jate hain. Sabse common problem hai degenerative arthritis. Ye age-related hota hai or isme joint ka surface ghis jata hai. Joint ke andar cartilage hoti hai. Ye joint ko painless rkhne ke lia bhut jruri hota hai and agar ye ghis jaye to ye pain krna shuru kar deta hai.

Jab ye advance ho jata hai to iska regeneration nhi hota hai. To hum maximum patients ko surgical treatment ke lia advice krte hain. Is condition ke symptoms kya hain. Patients ko pain hota hai. Day to day activity me dikkat hoti hai. Kayi bar legs tede ho jate hain. Ek dusra arthritis hai jisko hum bolte hain gathiya or rheumatoid arthritis. Ye ek bimari hai. Isme joint puri trha se destroy ho jata hai. Early stage me ye dawaiyon se control ho jata hai.

Or jab ye advance stage me hota hai to hum knee replacement hi advice krte hain. Ye surgery bhut successful hai. Is surgery me jo layer khrab ho jati hai use replace kr dia jata hai. Ise knee surfacing bhi kha jata hai quki isme sirf surface ko hi change kia jata hai. Ek new name hai jisko hum fast track ya enhanced recovery pathway total knee replacement. Isme hum new technology ka use krte hain through gadgets jo pain relief krne ke lia hota hai or ye post-operative dia jata hai.

Iske through patient 2-4 hours me hi kuch steps lene lag jate hain. Bed ke around vo aram se chal skte hain. Is s complications kam ho jate hain or patient ki recovery fast ho jati hai. Aaj kal gyroscopic navigation, blood loss reduction strategies, reducing pain modalities use krte hain or ise fir hum fast track knee replacement ka name dete hain.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Arthritis treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details