Joint Replacement Techniques
Hi,
I am Dr. Kunal Makhija, Orthopedist. Aaj mai aap ko techniques mein farak batana chahta hun jo normal surgeons karte hain and hum karte hain. Jab conventional joint replacement karte hain usmein patient ke ghutne ke aage ke muscle ko cut karke kia jata hai. Lekin ab nayi technique aayi hai jismein hum bina muscle cut kia joint replacement karte hain. Jismein hum skin cut kar ke pure ke pure muscle ko baaju mein leke aate hain aur puri sugery kar ke vapas aa jate hain. Patient surgery ke baad pain kam hota hai, blood loss bhi kam hota hai. Patient mein movements kafi jaldi aur better aa jaati hai. Patient ko physiotherapy ke sessions bhi kam lagte hain.
Patient ko medicines and injections bhi kam lagate hain. Surgery ke baad patient ka compliant rehta hai ki surgery ke baad bahut dukhta hai, bahut din rehena pada ya unka recovery period bahut hi lamba chala. Lekin is surgery mein recovery period kuch ghanton and dino mein hi khatam ho jata hai and patient 15-20 days mein hi normal life jee sakta hai. Yhi fayada hai is surgery ka. Umeed hai ki aap ko ye knee replacement ke baare mein samajh aya hai aur iskekya kya fayde hain.
Thank You.