Ketogenic Diet
Hello!
Myself Dr. Ritika Dua, Dietitian and Ayurveda for 9 years in Model Town. Mai aaj is video ke andar apko keto diet ke bare me btane ja rhi hun. Mere bhut sare patients mujhse keto diet ke bare me puchte hain. To me aaj pura brief me apko meaning btaungi ki keto diet hota kya hai, keto diet krte kaise hain. What is the benefit of keto, do’s and don’ts of keto. To first start krte hain what is the means of keto. Keto ke andar carbs ko band kar dia jata hai. Yanike carbs 5%, fat 70% and protein 25%. Is chart ke jariye aap ache se smjh skte hain. Ye aap chart dekh rhen honge. Jiske andar 70% mene fat bnaya hai. 5% mene carbs bnaya hai. And 25% mene protein bnaya hai.
Yes, carbs sirf 5% jata hai body ke andar, diet ke andar, 70% jata hai fat and 25% jata hai protein. To kaisi hoti hai ye keto diet. Ab isko brief me smjhati hun me. Jab normally way me hum carbs khate hain, to hmari body ke andar glucose turn ho jata hai. Kuch glucose burn ho jati hai or kuch glucose fat ke rup me hmari body me store ho jati hai. Jo storage hote hain vo as a fat me turn ho jate hain. Jab hum keto diet krte hain, Jab hum apna carbs band kar dete hai, to us time pe ye storage keto, jo storage fat hota hai vo keto system me chala jata hai. Yanike ab jo hmari body ka fat hoga, vo cells ko band krega. Yanike usi fat se jab hum keto diet krenge, carbs band kr k to jo hmari body se fat hoga vo break hone lgega. To hmari body weight loss krna start kr degi. Ise kehte hain keto diet. To keto diet ke andar main jo kar dia jata hai, carbs band, fat upar or protein.
Ab me apko btati hun iske benefits. Kya benefit hai keto diet krne ka? 1. Weight loss: Yes, ye bhut acha weight loss krta hai. Jiske bhi weight loss na ho rha aho vo ek bar keto diet jrur kre. 2. Memory ko fast kar dega. 3. Apke mood swings ko acha krta hai. Keto diet bhut acha hota hai, sugar patient ke lia quki iska andar carbs yanike glucose level bhut kam hota hai. Keto diet hota hai cholesterol patient ke lia bhut acha. Keto diet hoti hai fatty liver valon k lia. To keto diet ke bhut sare benefits hain. Ab keto diet me do’s and don’ts kya hai. Vo me apko btati hun. Kya khana chaiye or kya band hoga. Keto diet me carbs me kya hai. Carbs ke andar apki sare grains, chocolates, biscuits, jellys, burger, pasta, pizza, ye sab band kar diya jata hai. Or jo lia jata hai vo hai, low sugar foods, low sugar vegetables, leafy vegetables, spinach, nuts, eggs, pork, mutton, chicken, paneer, tofu, cheese, butter, coconut oil.
Quki iske andar hum fat se hi energy ko turn krte hain apni body me. Quki aap socho ki isme cheese butter kyu nhi rhega, quki hmara carbs to band ho gya. Ab hmari body ko energy chaiye, brain ko chalane k lia energy chaiye. To vo hum energy lenege, cheese, butter, paneer se. Iske andar milk and curd bhi band hota hai. To ye hai keto diet ke benefits. Ab keto diet krte samay hume 3 chizon ko dhyan rkhna chaiye. Quki hmari body me jab carbs kam hone lgta hai to multi-vitamins ki kami hone lgti hai. To hume multi-vitamins jrur lene chaiye. Constipation ki problem bhi hoti hai, to high level pe water consume krna chaiye. 3rd lemon water peete rehna chaiye. Or keto diet kisi ache dietitian ke under kren. Keto diet ko khud nhi kren. Quki keto diet brief me smjhne vali chiz hai. Thank you. Ye tha keto diet ke bare me. Apko agar keto diet ya any other diet banvana hai, to aap mujhe online ya offline contact kr skte hain.