Ketogenic Diet
How Ketogenic Diet helps to lose weight?
I'm Lokendra Tomar. I'm a Weight Loss and Wellness Coach. I believe in sharing true knowledge so that you can lead a disease free life. Jo log diet pe bohot research kar rahe hote hai unlogo ne aaj kal ek diet suni hogi Ketogenic Diet. Net pe aaj kal bohot popular hai aur agar aap dekhenge to iske results bhi bohot acche hai. Mai apne clinical practice mein dekta hun ki jab kisi method se weight loss nahi ho raha hota to Ketogenic Diet bohot accha kam kar raha hota hai. Ketogenic Diet aaj se almost 100 saal pehle discover kiya gaya tha aur isk arole tha Epilepsy, mirgi k jo dohre aate the unko ghatane mein ye use hota tha. Aaj bhi mirgi k dohre agar kisi ko aate hai to Epilepsy k liye yehi ek Diet hai aur koi diet kaam nahi aati.
Ketogenic diet bohot popular hui 1996 mein kyuki iss Ketogenic diet k upar ek film bani thi. 1960s mein Ketogenic diet ko weight loss k liye use karna shuru kar diya aur jo hum method abhi weight loss k liye Ketogenic diet ka use karte hai wo 1960s ka method hi hai jo use karte hai. So Ketogenic diet is a low carbohydrate and a high fat diet. High fat kaunsa humein lena chahiye, kis type ka humein lena chahiye? MCT (Medium Chain Triglycerides). Kaunse hote hai Medium Chain Triglycerides? Ye hote hai coconut oil mein ya coconut powder mein, coconut milk powder bhi aata hai. Ye jab body mein Medium Chain Triglycerides jaata hai to isko emulsificaton ki zarurat nahi hoti, body mein autimatically absorb ho jaate hai without emulsification aur iska metabolism bohot easy hota hai aur jo body mein metabolites iske release hote hai to ye ketones k form mein hote hai. Ketones humare body mein bundle of energy hai, especially brain k liye. To jab ketones release hoti hai humari body mein bohot energy aati hai aur brain mein bhi bohot energy aati hai.
Kaunse hote hai Medium Chain Triglycerides? Ye hote hai coconut oil mein ya coconut powder mein, coconut milk powder bhi aata hai. Ye jab body mein Medium Chain Triglycerides jaata hai to isko emulsificaton ki zarurat nahi hoti, body mein autimatically absorb ho jaate hai without emulsification aur iska metabolism bohot easy hota hai aur jo body mein metabolites iske release hote hai to ye ketones k form mein hote hai. Ketones humare body mein bundle of energy hai, especially brain k liye. To jab ketones release hoti hai humari body mein bohot energy aati hai aur brain mein bhi bohot energy aati hai.
Jab ketones zyada release hote hai tab body mein fat burning zyada shuru ho jaati hai. Kyun? Jab bhi hum fasting karte hai to humara weight loss hota hai, kyun? Kyu ki fasting k time body mein ketones generate hote hai. Jaise ketones jama hote hai body ko pata lag jaat hai k stored fats ko humein use karna hoga to automatically body fat burning mode mein aa jati hai. Jab hum fasting karte hai to muscles kam burn hoti hai, fat hi zyada burn hota hai because that's the natural process. To agar hume Ketogenic diet karna hai to mue humari diet low carb banana padega, matlab it'll be more of a vegetable based diet. Fat kaha se aayega? Mainly coconut oil ka agar hum use karege to wo zyada accha rahega.
Coconut wali jo diet hai isse weight loss zyada accha hota hai compared to any other diet, aur koi agar fat use karege to utna accha weight loss nahi hoga. Isi Ketogenic diet pe ek product hai jo mai normally clinic mein use karta hun- Lipolyzer Powder. Lipolyzer powder is a low carbohydrate and high fat powder. Isme coconut milk powder use kiya jaata hai to jab aap isko consume karte hai to isme to aap k body mein ketones zyada generate hote hai aur aap ka weight loss zyada hota hai. Is ko use karna bohot easy hota hai, kabhi aap office mein hai, lunch ka time hua, khaane ka time nahi hai to aap ne 30gm powder liya, 2ooml paani liya mix kiya aur pee liya. Nothing else to be mixed, simple. Aur isse ek meal replacement bhi ho jaata hai ya aap isse aap ka dinner bhi regularly replace kar sakte hai aur immediately aap ko weight loss dikhna shuru ho jayega. To aap jab Ketogenic diet follow karte hai to aap ko bohot accha result milta hai.
Follow kaise karna hai? It's easy. It should be low in carbohydrates and high in fats, which kind of fats? MCT, that is, Medium Chain Triglycerides. Agar aap mujhse personal consultation karna chahte hai to aap mujhe Clinic mein visit kar sakte hai ya mujhse online consultancy le sakte hai Lybrate par. Thank You.