Kidney Cancer - Know More About It!
Hello,
Mein Doctor Amit Goel Consultant Urology, Uro-Oncology and Kidney Transplant Surgeon. Aaj aapko kidney cancer yani gurde ke cancer ya renal cell carcinoma ke bare mein kuch jankari dunga. Sabse pahle to kidney hamare sharir mein kya kaam karti hai, hamare sharir mein do kidneys hoti hai joki is area mein pai jaati hai aur Inka kam hota hai blood ko filter karna aur usmein se waste material ko nikalkar ke usko urine mein takdiil kar dena jab kidney ka cancer ho jata hai to uska treatment hame karna jaruri hota hai ab sabse pahle hamen ye janna jaruri hai ye ki iske risk factors kya hai? Risk factors iska koi exact karan aaj tak ham nahi dhundh paye hain lekin iska kafi strong association cigarette smokers ya jo log tambaku ka istemal karte hain un logon mein paya jata hai ya fir jin logon ke andar mein hereditary kidney ke cancer hai yani ki familial kidney cancers iska ek reason hai.
Iske alawa jin logo ke andar motapa hai ya ya fir jo log lambe samay se dialysis per hai uske sath kuch association paya gaya hai yani in logon ke andar incidents thoda sa jyada paya jata hai. Kidney ka cancer males mein females ki apeksha mein males mein jyada paya jata hai aur iska maximum incidence 50 se 70 ki umar mein dekha jata hain. Abh ham aate hain lakshan ki taraf ki kidney ke cancer ke kya lakshan hote hain? jab kidney ka cancer chhota hota hai yani tumor chhota hota hai tab use case mein usually incidentally detected tumor hote hain jabh ham kisi aur karan se pet ka ultrasound ya koi CT Scan ya koi janch karte hain tab usmein yah tumor kidney ke andar paye jaate hain usko ham incidentally detected renal cancer ya renal tumor cancer kahte hain. Aapki jankari ke liye main batana chahunga ki kidney ke andar jitne bhi tumor paye jaate hain usmein se more than 95% tumors cancers hote hain aur sirf 5% ke lagbhag tumor benign hote hain isliye agar koi bhi tumor kidney ke andar paya jata hai to usko najarandaaz nahi karna chahie aur uska treatment lena chahie.
Anya lakshan jo kidney ke tumor mein paye jaate hain wo kidney ke tumor ya cancer mein paye jaate hain wo hote hain peshab ke andar khoon jana ya fir koi lump jaisi feeling hona ya swelling hona is hisse ke andar ya fir koi pain ka ehsas hona, weakness yani ki kamjori hona, weight loss, fever hona ya fir bhookh na lagna. Inmein se koi bhi symptom agar aap dekhte hain to turant aapko apne doctor ya urologist ko consult karna chahiye Ab kidney cancer ke detection ke liye ultrasonography aur CT scan primary imaging ke test hai. Iske alawa ham kuch blood test aur urine test karte hain aur koi bhi tumor ya cancer ke treatment karne se pehle hame staging karni hoti hai jiske liye ham PET CT scan karate Hain aur PET CT Scan hame batata hai ki hamare sharir mein kahin aur to koi tumor nahi hai aur ye hame help karta hai agge ka treatment decide karne mein.
Abh aate hain iske treatment ki taraf, treatment mein surgical treatment best form of treatment hai. Surgical treatment do tarah ke ho sakte hain ya to hum radical nephrectomy karte hain yani ki pura ka pura kidney ham sharir se bahar nikal dete hain aur aaju-baju mein agar koi cheez involved hai, koi structure involved hai hi to hum usko bhi saath-saath bahar nikal dete hain ya fir partial nephrectomy jismein ki ham sirf kidney ka wo part jismein tumor hai usko nikaalte hain uske sath-sath ek normal part of kidney nikal dete hain aur jo bhi non-involved kidney ka part hai usko ham chhod dete hain. Aaj ke time mein ye kidney laparoscopic technique ya robotics se sambhav hai jisko ki hum keyhole surgery bhi kahate hain, jismein ham bohot chote-chote se scars yani incision se is operation ko karte hain aur patient ko kafi kam pain hota hai, cosmetically kaafi accha hota hai aur iske alawa return to normal activity yani aap normal karya per jaldi se ja sakte hai. Iske alawa aur treatment bhi uplabdh hai joki ham metastatic setting mein jab tumor kidney se bahar ja chuka hai kahin fail chuka hai use condition mein ham patient ko dete hain jismein ki immunotherapy aur targeted therapy aati hai. Targeted therapy mein sunitinib and axitinib hamare pass available hai aur anya kahin dawaiyan available hai aur iske alawa immunotherapy therapy mein hamare pass Nivolumab available hai. Kidney ke tumors mein main aapko batana chahunga ki radiotherapy aur chemotherapy ka bohot achcha role nahin hai.
Thank you