Kidney Related Diseases
Namaskar,
Me Dr. Yogesh Kumar Chhabra hun, Nephrology. Aaj me apko kidney disease ke bare me btaunga. Kidney disease 2 types ka hai. Acute and chronic. Acute kidney me infection ya kisi medicine ka asar joki reversible hai. Isme kidney puri trha thik ho skti hai. Chronic me disease dheere dheere develop hoti hai. Ye reversible nhi hota hai. Iska cause diabetes and hypertension hota hai. Agar aap shi time pe nephrologist se contact krte hain to is disease ko slow ya ruka ja skta hai with adequate medicines. Diabetes and blood pressure ki medicines ko thik se len. Chronic kidney disease ke 1-5 stages hote hain. Maximum patients stage 3 & 4 me aate hain. Patient stage 5 me bhi aate hain. Patient ko vaccination ki bhi jrurat hoti hai hepatitis B, pneumonia and influenza.
Patient ko dialysis ke lia bhi prepare kia jata hai. Patient ko transplant ke lia bhi prepare kia jata hai. Patient ko stage 5 me dialysis ki bhi jrurat padti hai. Dialysis ke 2 types hain. Hemodialysis and peritoneal dialysis. Hemodialysis me blood ko clean kia jata hai. Peat ki dialysis ko peritoneal dialysis kha jata hai. Ek treatment hai kidney transplant jo sabse better hai. Kidney transplant means renal transplant. Agar kidney transplant me blood group match nhi krta tab bhi transplant ke lia socha ja skta hai. Depend krta hai ki patient ki body use accept kregi ya nhi. Isme patient ka quality of life improve ho jata hai and regular medication suggest ki jati hai. Patient ko regular hospital aane ki jrurat nhi pdti. Transplant price wise bhi kafi acha hai.
Dialysis me 5 saal ke baad karib 50% hi survival hota hai and diabetics me 35% survival rate hai. Lekin transplant me survival rate is more than 90%. Lekin transplant me ek problem bhi aati hai. Donors jyada available nhi hote hain. Kabhi blood group match nhi krta ya fir kisi medical reason se donor shi stage pe nhi mil pate hain. Hume logon ko motivate krna chaiye ki apne organs ko donate kren. Is se patient ki life ko improve kia ja skta hai. Kidney transplant ki life hoti hai 12-15 saal. kayi baar 30-32 saal bhi ja skti hai. Quality and quantity of life both can be improved.
Thank You!