Knee Ligament Injury - How To Handle It?
Hello,
Mera naam Doctor Kunal Makhija hai. Main ek orthopedic aur joint replacement surgeon hoon jo especially knee surgeries mein practice karta hoon. Aaj ham baat karenge Knee ligament injuries ki uske liye humko yeh samajhna jaruri hai ki jo hamara knee hai wo banaa hua hai upar ki jo bone rahti hai, thigh bone usko bolate hain femur, niche ki jo bone rahti hai usko leg bone ko bolate hain tibia ye jo dono bones hai, jo knee banaa rahe hain knee joint ye dono jude hue rahte hain bohot saare ligament se jismein se four main ligament jo hai wo hai, aage ka anterior cruciate ligament, andar ke hisse ka medial collateral igament, bahar ke hisse ka lateral collateral ligament, aur piche posterior cruciate ligament ye chaar ligament sabse jaroori hai ligament hain knee ke ismein se jab bhi ham girte gain khaskar sports injury, bike injury mein jo sabse common ligament jo tear hota hai wo hai anterior cruciate ligament.
Generally jabh bhi aap football khel rahe hain, badminton khel rahe hain, bike se injury hui hai ya fir seedhi se gire hain tabhi jo knee mein swelling ajaati hai aur hamara ligament injury ham bolate hain most common is anterior cruciate ligament injury ye jo injury hai ya fir partial ho sakti hai ya ligament aadha tut sakta hai ya complete tut sakti hai ya ligament puri tarah se tut sakta hai.
Jabh bhi ye partial hoti hai tabhi jo hamara treatment protocol rehta hai yeh partial ya complete decide hogi doctor ke examination ya MRI ke baad. Jabh bhi partial hoti hai jo hamara treatment protocol rehta hai wo rehta hai rest, humko sports koi nahin khelna 3 se 6 mahine, ice lagana hai aur pain killers lene hain aur kam se kam 6 hafte physiotherapy karni hai to ye charon cheez on se jo partial tear hai wo 95% of the time theek ho jata hai, lekin at the same time wo under the doctor supervision hona chahiye.
Jo baaki second injury rahti hai wo rehti hai hamari complete ligament injury usmein generally patient jab bhi aata hai doctor ke paas tabhi sabse main complaint pain aur imbalance ki hoti hai. Imbalance jab bhi aap fast chal rahe ho, jabh bhi aap seedhi niche utaar rahe ho fast to aapki knee mein imbalance hota hai aur buckle up ho jata hai knee aap jab bhi bhagte ho tabhi aap achanak se girne ka dar laga hua rahata hai.
To inshort jab bhi aapko, aapke sharir mein balance na ho aur dar lage ki abhi mera knee gir jaega ya main gir jaunga to that suggest ki aapko complete ligament injury hui hai jo after examination doctor ke aur MRI ke baad confirm ho jaega ki complete ligament injury hai. Is case mein most of the time jo treatment rahega wo hamara surgery rahega. Wo surgery mein hum sharir ka hi knee ke neeche ka ek extra ligament rehata hai wo use karke durbin ke dwara ya naya ligament fix kar dete hain aur wo ligament jo ham fix karte hain yah wala wo kuch 3 se 6 mahine ke physiotherapy ke baad as good as original ligament ho jata hai. To isiliye jab bhi humko ligament injury ya knee mein injury hui hai turant doctor ke pass jakar humko pata karna chahiye ki partial hi ya complete hai.
Thank you.