Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Oct 02, 2024
BookMark
Report

Know About Ayurveda

Profile Image
Dr. Sudhir Bhujbale.Ayurvedic Doctor • 25 Years Exp.MD - Ayurveda, Bachelor of Ayurveda, Medicine and Surgery (BAMS)
lybrate_youtube

Namaskar, Main Dr.Sudhir Bhujbale, Ayurveda, Mumbai. Aaj hum baat karenge ayurveda ke myths ke baare mein.

Ayurveda kaafi purana treatment hai. Ye prachin bharat se chal raha hai. Ayurveda science hai. Isliye 1000 years se aaj bhi ayurveda chal raha hai.

2nd myth hai ki ayurveda bahut dheere kaam karti hai and kaafi lambe samay tak chalti hai. Pehli baat ki patient kaafi problem ho jaane ke baad ayurveda mein aata hai. Isliye patient ko thik karne mein time lag jaata hai. Ayurveda root se kaam karta hai.

3rd myth hai ki ayurvedic medicines mein heavy metals hote hain jo hamari kidney and liver ko damage karte hain. Isme un logon ka problem hai jo ye medicines thik se nahi bana paa rahen hain and ismein ayurveda ka koi dosh nahi hai.

4th myth hai ki log ayurveda ko bas try karna chahte hain jab dusre treatment kam nahi kar rahen hote hain. Yehi reason hai ki treatment positive effect nahi de pata hai quki aap khus hi negative ho jaate hain.

5th myth hai ki pulse examination se hi test kia jaata hai. Aisa nahi hai. Ayurveda mein apne test kiye jatay hain. Misunderstanding apne aap me ek badi problem hai. Isliye aap ayurveda ko thik se study karen and uska benefit le. Further information ke liye Lybrate ke through aap humse Dr.Bhujbale's Ayurveda and Piles Clinic par contact kar sakte hain. Dhanywad.

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Staying Healthy treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details