Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Know More About Acidity

Profile Image
Dr. Ashwani GoyalAyurvedic Doctor • 22 Years Exp.Bachelor of Ayurveda, Medicine and Surgery (BAMS)
lybrate_youtube

Causes, symptoms and prevention of Acidity

Namaskar main doctor Ashwani Goyal. Ma ek ayurvedic doctor hu. Aur ek Nadi Vidya bhi hu. Nadi Vaidya matlab jo Nadi Ke dwara marizon Ki Bimari ke baare mein Batata hai usko kya Bimari es samay hai anay wali hai. Aaj main aapko gas or acidity ke baare me kuch batao ga. Gas acidity Hamare Sharir Mein Hone Wali lagbhag sabhi bimario Ke Piche bahut bada roleplay karti hai. Gas or acidity matlab jo bhi Hum bhojan Karte Hain Jaisa bhi Hamara ahaar vihaar hota hai. Aahar Vihar matlab Humara Lifestyle Jaisa bhi Hota Hai Us Lifestyle se sambandhit Bimari Hai Hame Aati Hai. Gas Jo bhi Humne bhojan lia Yadi WO Hame pura Sal nahi pata Toh WO Hamare Sharir mein jakar Bahut Si Bimari Hai Peda karta hai. Sugar Ho Gaya blood pressure Ho Gaya joints pain Ho Gaya.

Acidity means Jo Humne Bojhena liya Uski taseer uski quality yadi garam nature ki hai yadi us bhojan me pitta ki matra zyda hai, us bhojan me garmi zyada hai tou wo humaray shareer me ja kar pitta k aggravate karay gi aur jis se shareer me acid level barhay ga aur acid level barhnay se jaodi bal jharna, bal safeed ho jana, ankho me jalan rehna, gall bladder stone banna, joints me pain, ye sari samasayae humaray shareer me gas aur acidity kay bannay ki waja se hti hai. Aur sab k banne ke peechay karan hai humara lifestyle, humari food habits. Yadi humara lifestyle aur food habits ayurveda ke anusaar rahay ga tu huamray KO buhta kam bemarian shareer me pareshan karein gi.

Yadi humara lifestyle thora sa bhi gar bar ho jata hai yadi humaray shareer me Vatta, Pitta, Kaph ki matra thori c bhi imbalance hti hai tou humaray shareer me es type ki bemarian ati hain. Yahan hum apna center me apnay mareezo ko btaty hai k unki bemari k peechay basic reason kia hai aur usko kis tareeqay se door kia ja sakta hai. Proper lifestyle follow karne ki waja se unki kafi had tak bemarian door hoti hain. Aur uskay sath sath kuch desi dawa hum unko detay hain. Aur Desi Dawa Lene se lagatar Achi Lifestyle follow karnay say routine se exercise karnay se shareer me honay wali buhat sari beemariyan Jo jis k liay mareez lagataar dawa khatay rehtay hai.

Sugar hai, blood pressure hai, thyroid hai, asthma ki problem hai. Aj kal buhat zyada samasya phel rahi h blood pressure ki. IBS aj kal bohat se logo ko honay laga hai. Uskay peechay karan yahi hai k hum log bhojan ko buhat ghalat tareeqay se letay hai. Gram food letay hain aur us k sath thandi cold drink le letay hain. Basi khana zyada use honay laga hai. Pet foods zyada use honay lagay hain. In sab cheezo ko kis tareeqay se door karein. Apnay lifestyle ko hum kis tareeqay se design karein k hum proper tareeqay se jeevan ko enjoy kar saken. Ye cheezain hum apnay center par mareezo ko btaty hain.

Aakhir me main aapko btana chahunga ke lybrate aik buhat aca platform hai es platform k through buhat saray mareez Jo hain buhat saray doctors se online or video call k duwara connect apas me ho jatay hain aur unki queries door ho jati hain. Toh ap bhi yadi mere se milna chahe ya mera se kisi bhi type ki koi bhi baat cheet karna chahen toh lybrate k through ap meray se mil saktay hain.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Acidity treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details