Know More About Ayurvedic Treatment
Hi all,
I am Dr Vikas Mahajan Lybrate ke sabhi darshkon ko ya customers ko ya viewers ko mera namaskar. Mera education hai post graduation, MD in Ayurveda aur Ayurved Treatment and Panchakarma Specialist. Mere clinic mein Jo alag-alag ayurvedic treatment hoti hai uske bare mein aapko introduce karana chahta hoon jo totally herbal ya ayurvedic ya hum bole sakte hain ki natural way se treatment hai. Sabse pahle main sexual problems ke bare mein batana chahunga, jaise hum metro cities mein rehte hain, Mumbai main.
To proper lifestyle na hona ya khan-paan mein sahi tarike se nahi hona, stress, tension in cheezon se male ho ya female dono mein sexual problems bohot sari aane lagi hai jiske karan infertility bhi hone lagi hai to male sexual problems mein jaise erectile dysfunction means ling mein tanav na aana ya premature ejaculation, dhaatu ka jaldi nikalna ya nightfall ya fir sperms ki kami hona. Waise hi females mein sex ki, libido ki kami hona and jo alag-alag iske karan hain jaise maine lifestyle ke bare mein bataya to ye totally herbal medicine se hamare yahan uska treatment hota hai ayurvedic way se treatment karte hain aur Khan-pan ka bhi advice karte hain. jiske karan ye treatment sahi ho pata hai aur jinko bacche nahi ho rahe in problems ke karan un mein bhi iska accha result milta hai, acchi chikitsa hoti hai. Agla jo problem hai major cities mein ki diabetes jo lifestyle ke related hai, high blood pressure, high blood sugar ye jo lifestyle diseases hai uska bhi ayurvedic treatment mere yahan hota hai.
Teesra major hai digestion ke related problem means hyperacidity, constipation, gases ki problem, IBS (irritable bowel syndrome) ye bohot common aaj kal ho gaya hai to uska bhi sahi tarike se ayurvedic treatment aur uske sath-sath panchakarma treatment means detoxification ye yadi karte hain to ye problems hundred percent solve ho jati hai. Next hum jayenge problems jaise ki mental disorders jaise stress, tension iske liye bhi mere yahan ayurvedic treatment hoti hai uske sath-sath panchakarma treatments ka bhi usme labh hota hai. Hamare yahan yoga ki classes bhi hum conduct karte hain to jis ka labh mental conditions ho ya diabetes ho ya obesity ho, weight loss isme bhi iska fayda hota hai.
Next problem hai arthritis means jodo ki problem, neck pain, knee joint pain, back pain ya all joint pain, rheumatoid arthritis, arthritis, gout iske related bhi ayurvedic treatment hoti hai jo 100% pure natural treatment hai aur panchakarma treatment bhi hamare yahan saree hoti hai jisme massage, shirodhara,vamana, vierchana jo detoxification aapki body ka karti hai aur aapko jo bhi problems hai ya diseases hai usse aap ko relief milta hai. To ye alag-alag treatments hamare yahan hoti hai hundred percent to aap jarur hamare yahan aake iska labh uthayiega aur hamare yahan jo bhi sabhi treatments hai ya ayurvedic chikitsa hai uska reasonable cost hai har kisi varg ko ye jyada mehnga padega nahi har koi ye treatment kar sakta hai. To mera aagrah rahega ki lybrat se jo log jude hue hain ya lybrate se mere paas aana chahte hain to wahan par apna aap online booking ya directly call karke bhi aap apna appointment leke mujhe consultation ke liye aa sakte hain ya call kar sakte hain.
Dhanyavad!