Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Oct 12, 2023
BookMark
Report

Know More About Chest Pain

Profile Image
Dr. Pankaj RanjanCardiologist • 24 Years Exp.DM - Cardiology, MBBS, MD - General Medicine
lybrate_youtube

Hi! I am Dr. Pankaj Ranjan, Cardiologist, Yatharth Superspeciality Hospital, Noida. Today I will talk about chest pain. Ye bahot hi common problem hai and is main log sochte hain ki kahin unhe heart attack to nahi aa raha hai. Aaj ki date mein ye chest problem young logon ko bhi bother kar raha hai. Ye hamari mental health ko bhi effect kar raha hai. Kaise pata lagaya jaye ki ye heart attack ya heart se related hai ya nhi?

Agar aap ko pata hai ki chest mein kahan pain hai aur body pain bhi karne lage to ye heart se related nahi hai. Jis mein aap ko breathlessness, excessive sweating ho tab ye heart se related ho sakta hai. Agar aap ko chalne se bhi pain hota hai tab ye bhi ek heart related problem ho sakti hai. Aap ko ECG karana chahiye aur agar ECG normal hai to aap ko heart related problem nahi hai.

Agar aap ko diabetes hai ya cholesterol ka problem hai ya fir aap smoker hain aur aap ko chest pain hota hai tab aap ko jyada careful rehne ki jarurat hai. Chest pain ka treatment bhi possible hai. Issiliye aap immediately hospital visit karein aur ECG karayein. Agar aap timely hospital pahunch jaate hain to aap theek ho sakte hain aur aap normal ho sakte hain.

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Chest Pain treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details