Know More About Diabetes
Tests which confirm about Diabetes and its Symptoms
Hello friends main doctor Hanish Gupta hu, diabetes related kuch information mein aaj aaplogo ke sath share karne aaya hu. Main Delhi sahar mein practice karta hu aur Lybrate ka abhari hu ki Lybrate mujhe yeh avsar de raha hai ki main apke sath diabetes ke upalaksh mein kuch batey discuss kar saku. Sabse zyada pechida sawal jo main logo se sunta hu jo ki vastavik roop mein ek simple sawal hai who yeh hai ki kya diabetes mujhe hai bhi yah nahin?
Har insaan janna chahta hai ki diabetes yah madhumeh jaisi bimari ussey grasth kar rahi hai yah nahin? Well iska jawab aap ek simple blood test dwara kahi bhi kisi bhi laboratory mein test kara ke paa sakte hai. Agar apka fasting blood sugar 126 se zyada hai who bhi do avsaro par naki ek avsar par toh apko diabetes ka mareez ghoshit kiya jayega. Isi upalaksh mein ek aur test hota hai jo ki hai glycosylated haemoglobin jissey asaan bhasha mein hba1c ka test kaha jata hai. Is test dwara apke teen mahine ki blood sugar ki ausat pata lagayi jaa sakti hai. Iss test ka humein result percentage mein milta hai. Agar yeh test 6.4% se zyada kisi bhi mariz mein paya jaa raha hai toh ussey bhi diabetes ka mareez ghoshit kiya jaa sakta hai.
Dosto diabetes itni pechida bimari nahin hai jisko bana diya jata hai. Diabetes ko pata lagan ke liye keval yeh do test mahetwapurn bhi hai aur purn taur pe purey bhi hai jiske dwara aap diabetes ke barey mein pata laga sakte hai. Kuch aisi baatey aur bhi hain jo main apke sath discuss karna chahta hu jaise diabetes ke lakshan kya hai. Well agar apke parivar mein koi aisa sadasya hai jissey diabetes hai yah apke upar 40 saal se zyada ho chuki hai yah apko sudden unexplained weight loss hai yah aap wazan mein zyada hai yah aisa hai ki kuch dino se apko zarurat se zyada bhook lagne lagi hai yah zarurat se zyada peshaab aney lag gaya hai toh apko diabetes ke test karwana anivarya hai.
Toh dosto in vishesh baton ka agar aap dhyaan rakhengey toh aap apno ko aur apne parijano ko diabetes jaisi bimari se bacha sakte hai. Mere se sampark karne ke liye aap kabhi v Delhi mein mere clinic ka address Lybrate dwara paa sakte hai. Dhanyabaad!