Know More About Fistula
Namaskar dosto, Centre for piles and fistula se anovector specialist main Dr Ruchi Gupta, main Dr Rakesh Gupta. Aaj hum baat karenge guda marg mein hone wale ek rog jisse bhagandar ya fistula inano bhi kaha jata hai. Yeh gudda marg ke area mein hone wali ek bimari hai, jismein mareez ko uske aas paas ke area mein ek swelling ho jati hai jismein kabhi kabhi pain ya puss ka risaav bhi mareez ko mehsoos hota hai. Generally isko patient ek samanya access ya thoda samajh kar kuch antibiotics or painkiller le leta hai Jaise kuch samay ke liye aaram bhi mil jata hai, lekin kuch samay ke baad isme phir se puss pad jati hai, phir se wahi pain and swelling ke lakshan utpann ho jate hain. Yeh fistula ka hi ek lakshan hai, so basically fistula is a chronic first discharging sinus occuring in the vicinity of anal canal matlab ki gudaa marg or uske aas paas ke area mein hone wala ek sinus ya tract hi fistula hai, jisme puss banti hai jo kabhi kabhi shauch marg se ya phir uske aas paas ke area se bhi bahar nikalti hai. Ab hum baat karenge iske ilaj ke baare mein, dosto mai aapko fistula ke treatment ke baare mein batana chahunga, fistula jisko hum bhaggandar kehte hain aur isme jo chikitsa hai Ayurvedic dawai, homeopathic dawai, allopathic dawai kisi bhi tarike se dawa ke madhyam se iska puri tarah ilaj nahi ho sakta. Iske ilaj ke do tarike hain, number 1, kuch log allopathic surgery kara lete hain, number 2, Ayurvedic Kshah Sutra Therapy. Surgery ke madhyam se jab iska treatment karte hain toh usme reouccrence ke chances bahut jyada hote hain, patient ka operation kar lete hain uske ek mahine, do mahine, ek saal baad usko phir dobara ye problem khadi ho jati hai, jabki hum jab is Ayurvedic Kshah Sutra Therapy ke madhyam se iska treatment karte hain. This is the one of the best successful treatment for this fistula treatment, basically, isme reoccurence chances very much minimum in case of Ayurvedic Kshah Sutra treatment, iss therapy ke madhyam se jab treatment kiya jata hai toh usmein hum natural tissues ko, abundance of fat in the perinal area jo hota hai isko hum bachate hain na ki usko katate hain as the allopathy does. That is why reoccurrence chances are very minimum in case of Ayurvedic Kshah Sutra Therapy treatment. Plus saath mein hum ayurvedic dawaiya bhi chalate hain, 99% iss mein successful treat hota hai aur uske dobara hone ke chances bahut kam hote hain. Kuch logon mein ye bhranti hoti hai iss treatment ke baare mein ki ye painful hota hai, isme isa kuch nahi hota koi bleeding nahi hoti koi tention lene ki avashyakta nahi hoti isme, aur aap second day, third day se apna kaam shuru ho jate hain. Bas isme aapko once in a week centre pe visit karna hota hai aur bahut jaldi problem kam ho jati hai kisi bhi tarah ki koi painful therapy nahi hai. So isi ke saath meai is topic ko samapt karta hoon, yadi aap mein se koi bhi fistula ya bhagandhar naam ke rog se pidit hai, toh aap hamare Centre pe visit karke is chikitsa ka labh utha sakte hain ya phir Lybrate ke madhyam se bhi aap humse sampark kar sakte hain.