Know More About Gynecomastia
Hello,
I am Dr. Lalit Choudhary, Cosmetic/Plastic Surgeon. Today I will talk about gynecomastia. It is a very common problem. Male breast enlargement pichle 10 saal mein dekhein toh bahut tezi se badh raha hai. Har 1 OT mein ek gynecomastia ka case milta hai. Obesity se related gynecomastia alag hai. Par routine care karne ke baad bhi gynecomastia ka problem hai. Obesity mein agar aapne weight loss kia hai tih aap ke breast bhi hang kar jaate hain. Liposuction karne ke baad bhi dekha jata hai ki breast aur jyada visible hai. Bachon mein ye problem kafi common hai. JUnk food khane se bhi ye problem aati hai. Bache humare pass 13-14 years mein hi parents ke sath aana shuru kar dete hain.
Unko class mein bahut embarass feel hota hai. Kya humein ye chiz karni chaiye? Male breast enlargement mein kya hota hai? Ismein humare 2 components important hain. Breast ke glands males mein bhi hote hain. Vo increase karne lag jaate hain. Body building karne ke lia jo hum supplements lete hain, unmein hormones hote hain, uski vajaha se gland badh jata hai aur fat bhi badh jata hai. Aap kitna bhi gym kari ya exercise kar, ye chiz badhi hi rehti hai. Aise mein humein surgical treatment hi dena hota hai. Ye ek scarless treatment hai kyuki pin hole ke through hi liposuction kia jata hai fir gland excise kia jata hai. Treatment ke baad thode se precautions hote hain 1 month ke lia.
Apki elbow over the shoulder nahi jaani chaiye, heavyweight nahi uthana hai. Lower body mein aap weight utha sakte hain. Same day se ya fir next day se aap driving bhi kar sakte hain. Aap ki routine life mein koi farak nahi padta hai. Kewal jahan aap ko weight utha kar chalna hai vo 3 weeks ke lia mana hoti hai. Swimming 3 weeks ke lia aap ko mana ki jaati hai. Baki chizen aap 3 weeks onwards resume kar sakte hain. Ye kafi safe surgery hai. Aur weight loss ya fir bariatric surgery ke baad jo weight loss hota hai, usmein incision ki ek line jarur aati hai. Kyuki body ki almost sari chizen lift karni hoti hain, islia ye bhi lift mein aata hai. Jahan bachon ki baat hai, jahan tak avoid kar sakte hain like vo jab tak 18 ke nahi ho jaate, hum surgical intervention avoid karte hain. Par kuch bache psychologically jab bahut jyada depress ho jaate hain toh humein touch karna padta hai.
Dekha jaata hai ki bache school jaane ke lia ready nahi hote hai, parents bhi panic hoke aate hain, So, parents ke panic hone se koi surgical intervention nahi hai. Par bacha agar school hi nahi ja raha hai and kisi activity mein participate nahi kar raha hai usmein fir aap bata ke written concent ke sath kar sakte hain. But ye ideal nahi hai. Ideal 16-18 saal ki age ke baad hi hai. Aap ko pressuer garment pehnna hota hai, jacket type ka. Thi se ki gayi surgery ko dubara nahi karna padta. Kabhi kabhi ek breast badhta hai dusre ke mukabale. Single breast operate kar ke aap long term result nahi le sakte. Islia dono hi operate karne hote hain. Injection deke jo animal produce kia jaate hain ya fir unhein bada kia jata hai, unka intake harmful hai humare lia.
Thank You.