Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Know More About Hairfall

Profile Image
Dr. Princy KhandelwalHomeopathy Doctor • 18 Years Exp.BHMS
lybrate_youtube

Hello, friends. I am Princy Khandelwal, practising homoeopathy from last 10 years. First of all, I want to tell you about Homeopathy.

Homeopathy ek medical science hai jisme medicines natural substances se ek precise standard par prepare ki jati hai. Homeopathy ko lekar aam janta me kuch myths hai jo ki me clear karna chahti hu. Homeopathy medicines slow work karti hai. actually in medicines ka kaam karne ka tareeka alag hota hai. Ye apke body ke immune system ko strong karti hai, body ko disease fight karne ki ability deti hai, islie thoda sa slow work karti hai. Homeopathic medicines ka koi side effect nahi hota hai, inka koi parhez nahi hota hai. Diabetic patients bhi homoeopathic medicines le sakte hai, meethi goliya hone ke baad bhi unhe isse koi nuksaan nahi hoga.  Kabhi kabhi zarurat padne par homoeopathy ke Sath me allopathic medicines bhi li ja sakti hai. Aj hum homoeopathy treatment for hair fall ke baare me baat karenge.

Homeopathy for hair fall.

Hairfall jese ki hum sab he jaante hai, scalp se baalo ka girna. Ise gum alopecia bhi kehte hai jisme baalo ka ghanapan kam hojata hai. 40-80 baal roz ka girna normal mana jata hai. Lekin agar apke baal isse adhik matra me girte hai to apko treatment ki zarurat hai. Hairfall ke bohot sare reasons hote hai. Lekin hairfall k reasons se pehle, hume hair growth ki stage ko samajhna hoga. Hair growth ki 3 stages hoti hai;

  • First hota hai, Anagen stage. Is stage me baal grow karta hai or wo active stage me rehta hai. Ye stage 2-7 saal tak chalti hai.
  • Catagen stage is next to anagen stage. Isme hair ki built supply band hone lag jati hai or hair dead hone lagta hai. Ye stage 10-14 dino tak chalti hai
  • Teesri stage hai Tetogen. Ye ek resting stage hai. Isme hair girne lagte hai or hair follicle inactive ya resting phase me hote hai.

Hair growth k stages samajhne k baad hum hair fall k baare me baat karenge. There are various reasons for hair fall;

  • Skin diseases on the scalp, such as fungal infection, dandruff etc.
  • Genetics. Ye depend karti hai male or female baldness par.
  • Nutritional deficiency, jese Iron ya vitamins k wajah se bhi hairfall hota hai.
  • Hormonal changes, jese ki child birth ya menopause ki wajah se bhi hair fall hota hai.
  • Major diseases, jese ki typhoid, thyroid etc ki wajah se bhi hairfall ho sakta hai.
  • Kuch medicines, jese ki anti depression, steroids, cancer medicines, chemotherapy etc, inki wajah se bhi hair fall hota hai.
  • Physical trauma, jese ki injury.
  • Mental trauma, jese ki mental stress ki wajah se bhi hair fall hojata hai.
  • General diseases such as hypothyroidism, tuberculosis, AIDS, inki wajah se bhi hairfall hone ke chances hote hai.

Various patterns of hair loss;

Alopecia areata: Is case me ek particular spot se hair loss hota hai, jise hum alopecia areata kehte hai. 

Alopecia Totalis: Is case me poore scalp se hairloss hone lagta hai.

Androgenetic alopecia: Is case me male and female baldness ata hai jiska main reason hormonal change ya fir genetic factor hota hai.

Telogen effluvium: Is case me hair ki density poore scalp se kam hone lag jati hai. Telugen phase me hair jaldi enter karte hai islie aisa diffuse jaldi hojata hai.

Hair loss ke sabhi reasons ko jaane ke baad hum hair loss treatment ke baare me discuss karenge. Hair loss ke bohot he acche or effective treatment homeopathy me available hai jo ki aap le sakte hai. Lekin jese ki aap jante hai ki homeopathy me complete case history or symptoms ko lekar he treatment dia jata hai. Islie aap kisi acche homoeopathy doctor ko consult kare, treatment le or hairfall control kare.

You can discuss your problems with me also at my clinic. My clinic is B-79, Ashoka Enclave part 2, Sector- 37, Faridabad.

Thank you very much.

 

 

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Hair Growth treatment

View fees, clinc timings and reviews

RELATED LAB TESTS

doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details