Know More About Hepatitis
Hello!
Main Dr. Praveen Sharma, Gastroenterologist. Aaj hum hepatitis ke bare me baat krenge. Iska mtlb hai liver me inflammation. Is se liver me swelling hoti hai. Hmare India me 5/100 patients ko ye problem hai. Iske causes hai hepatitis - A, B, C, D & E. Overweight, drugs and alcohol consume krne valon ko ye disease hoti hai. Jo unnecessary medicines lete hain, unhe bhi ye problem hoti hai. Kya hepatitis and jaudice ek hain? Nhi, ye ek jaise nhi hain.
Jayatar logon ko iske symptoms nhi aate quki ye bimari dheere dheere chalti hai or achanak bade roop me samene aati hai. Isko diagnose krane pe is disease ka pta chalta hai. Other symptoms hai loss of appetite, stomach pain, weight loss and pillia. Isko diagnose krne ke lia hum liver functuin ka test bhi krate hain. Hepatitis - A, B, C & D ke tests bhi available hain. Inko kaise prevent kia ja skta hai? Isko prevent krne ka sabse easy way hai ki khana khane se pehle hand-wash kren. Boiled water peena chaiye.
Hepatitis - B & C ka vaccination available hai jo chote se bade bachon ko dia jata hai. Alcohol consumption bhi apko khtm krna chaiye. Aaj kal iska main cause hai motapa. Ultrasound krne me pta chalta hai ki fatty liver ka problem hai or jab aap liver test krayen to hepatitis hota hai. Isko prevent krne ke lia apko regular exercise krni chaiye. Fried foods and sweets avoid kren. Isko aap easily prevent kar skte hain.
Thank You.