Know More About Panic Disorder
Namashkar!
Me Dr. Rahul Chandhok hon me ek senior consultant psychiatrist hu ar me apni practice medhok clinic me ar fortress hosiptal Delhi MCR me.
Aj me ap sy bat karu ga panic disorder ky bary me. Panic disorder ek esa rog hy jis m jo diagnosis hy wo hamesha physician ya cardiologist ky duara banaya jata h kiu ke patient jo he usy mehusu hota he ky ya to mery ko sans ni a ri he ya mery daam ghut ra hy ya mery dil ki dharkan itni barh gai he ke mjy heart attack hony wala he ya mery ko bilkul meri chaati py bhaar rakha huva hy. Esa mehsus hony py wo emergency me bhagta hy ar wahan py ja kr ky uski sari jhanch ki jati he ar jhanch me kuch ni paya jata tb ye conclude kiya jata hy ky ye shayad ek panic attack tha. Panic attack ek prakar ka anxiety ka dora hy jis me boht jadatar jab ye hota he khas kar ke rat mein to wayakti so raha hota he. Soty soty achanak nind khul jati h usy lagta he ke shayad mjy sans ni a ri hy mera dum ghut ra h mera gala ghonta ja ra h khriki darwazy khol do bahar nikal jauon ar usy lagta h ky shayad emergency me jany sy thk hoga. Jadatar esy cases me jab poucha jata he to wo tanavv me koi nishchit karan nahi bata pata ky kiu wo pareshan he par esi history zrur milti h ky wo kafi samay sy kisi bat ko ly ky pareshan thy. Agr ye dekha jy kii iski paretishat to boht sary log jo emergency me jaty hein unka diagnosis actual me panic hota h Wo ye realize nai kar paty ky hamara dimagh sharir k sabhi angoo ko control karta he ar isi wja sy jb us py kisi wja sy tanavv parta he to wo apny kisi ankhh me ya to phephry me ya to dil me ya pait me signal bhej deta h jis ki waja sy ya to sans me takleef hony lagti he ya dil ki dharkan boht barh jate hy ya acidity hone lagte hy. Mareez ye samjhta hy ky uska koi na koi angg khrb hogya he ya sary he angg kharab ho gy hein is liye wo emergency me bhagta he par iska taluuq jo he wo dimagh me ek neurochemical hy cerotonin us sy hota he agartanavv ki wja sy ya ghambheer paristiti ki waja sy ye neurochemical kam ho jata he to wayakti ki negativity barh jate he ar usy ghabrahat rehny lagte he par iska ilaj bilkul sambhav he ap doctor ky pas jayen. Kch dawao sy ye neurochemical dobara barhaya ja sakta he .iska course poora karen.bech me na chorein. Otherwise bar bar dikaat ky chances rehty hein. Kai baar panic attack ky sath ye bhe hota he ky bahar jany me hichkichahat rehny lagti he .sankosh rehny lagta h .fobia ho jata he kii agar ham bheer bhari jaga me jayen gy to kahen hamy esa ho na jy to hamara kiya hoga .ham wahan kesy nikly gy is lye log jo hein platform py ya cinema ghar me ya mely me jahan bheer bharaka ho jana avoid karty hein par is bemari ka ilaj he. Apny doctor sy milyn apny psychiatrist sy milein ar iska ilaj karvayen ar panic attack sy nijaat payen.