Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Know More About Piles

Profile Image
Dr. S K Singh, Sushruta Ano Rectal Institute Piles And Fistula TreatmentGeneral Surgeon • 37 Years Exp.M.S. (Ayurveda), Bachelor of Ayurveda, Medicine and Surgery (BAMS)
lybrate_youtube

Hi, I am Dr SK Singh, I am a surgical specialist in Ayurveda. I did my post graduation that is MS ayurveda from Institute of Medical Sciences, Faculty of Ayurveda, BHU. Recently I am running Sushruta Ano Rectal Institute in Rohini in New Delhi. Sushruta Ano Rectal Institute jo ki Guda rogo ke ilaj ke liye banaya gaya hai. Aur iss mein sabhi prakar ke Guda rog Jaise piles, fitsula, fissure, chronicles synus adi ka bugair operation appropriate tarike se ilaj kiya jata hai. Toh aaj hum baat karte hain piles ke baare mein, yani bawasir jise hum aam bhasha mein jayadater log jante hain. Piles ek aisi bimari hai jisme log jayadater iske baare mein baat karne se katratte hain just like a social Taboo. Lekin iss bimari ke bare mein jankari lena bahut avashyak ho gaya hai, jisse ki aap isko samaj mein doosre log hain jo isko bawaseer ke naam pe logo ko gumrah karte hain, toh aap logo ko Uske baare mein sateek jankari honi chahiye. Toh piles mein rogi ko kya hota hai, piles mei rogi ko bugair vedna ke, mal tyag ke samay bleeding ka hona ye ek pramukh lakshan hai. Toh Jyada tar logo meinyeah bleeding ke roop mein hi, ya mal tyag ke samay Khoon Ka aana yeh hi iska pradhan lakshan hai. Yeah bimari agar adhik samay tak rehti hai toh isme chote musse ban jaate hain, guda marg mein chote mas ke musse aur wo kabhi-kabhi mal tyag ke samay bahar aate hain aur kabhi apne aap ander chale jate hain. lekin aur adhic stress badne pe ye masse apne aap ander reh jate hain aur kai baar marij ko apne hath se daba ke ander kerna padta hai. Toh sadaran roop mein piles is taranh seapne aap ko present kerta hai, bawasir ko. Ab hum iss bare mein janane ki koshish kerte hain ki ye ro hota kyun hai. Ab aaj-kal aisa mana gaya hai ki ye jo bimari hai piles ye challis saal ya pachas saal ke aas-pas matlab adult age mein, bade bujurgo mein jayada pai jati hai kyunki uss samay tak jo hamari guda marg ki jo veins hain blood vessels hain unme endorcement ho jata tha aur dheere-dheere unme swelling aa jati thi. Lekin aaj- kal ye dekha gaya hai ki jo project time hai inme teenage group mein ya college going bachcho mein ya youth mein bhi ye bahut milne laga hai, reason being ki aaj-kal ka hamara jo khane peene ka jo hamar fast food culture hai, jo sedentary lifestyle jo humlog ghumte firte nahi hain aur jo ek jagah baith ke computers pe ya laptops pe kaamkerte hain, toh hamari physical activity hai kafi restrict ho gayee hai.

Toh sedentary lifestyle, fastfood culture aur isulins wagerah ki kami ki wajah se ye bimari early stage mein bhi dekhne ko mil rahi hai aur aajkal toh ye bhi dekha gaya hai ki log newspaper lekarke toilet mein chale jate hain ya mobile leke toilet mein chale jaate hain, baithe rehte hain toh woh continuous uss time ko utilise kar rahe hote hain. Lekin unknowingly vo jo baithne ka pressure hai woh rectal veins pe padta hai aur unmai balloning hona shuru ho jati hai, it because of constant pressure go in the blood vessel guda marg ki jo khoon ki nali hai unmai phulav aane lagta hai aur woh musse ka roop dharan kar leti hai. iss tarah se ye problem constipationki wajah se ya motion mein jo der tak baithe rehne se ya strain karne se bhi yeah balloon effect aata hai aur khoon ki naliya fool karke musse ka roop dharan kar lete hain. Toh iss tarah se ye shuruaat hoti hai, aur aisa nahi hai ki ek din mein piles ban jaate hain, yeh hamara lifestyle kafi samay tak aisa chalta rehta hai tab jakar ke effect masse ke roop mein dikhai deta hai.

Ab baat hoti hai ki ek baar musse ban gaye hain toh ab unka ilaj kaise kiya jaye, ilaj ke liye aapne dekha hoga ki aaj kal usually log bawaseer ke masse ban jane ke baad mein surgery karate hain ya phir iska ek dusra tarika hai jisko hum kehte hain ki stapling technique, stapling technique bhi aa gayi hai, Jisme hum staple kerte hain lekin Ayurved mein iss bimari ka bahut hi badiya ilaj bataya gaya hai bugair operation ke. Toh 1st tage mein aur early 2nd stage mein, Jisme ki sirf bleeding hi pradhan lakshan hota hai ya musse kabhi kabhi bahar aate hain aur apne aap andar chale jate hain. Aisi stage mein hum piles mein kshar karma Ke dwara aur Ayurvedic aushadhi chikitsa ke dwara usko puri tarah se thik kiya ja sakta hai. 2nd or 3rd stage mein jab musse ka size bada ho jata hai aur musse bahar aane lagte hain aur ya chalte phirte bhi bahar aa jaate hain, toh aisi sthiti mein ksharsutra ligation is the best treatment for these internal haemorrhoids, inmein koi cheed-fad ki zaroorat nahi hoti hai. In musso ko kshasutra ke dwara ligate kiya jata hai, aur bahut hi suvidha janak roop hafte, dus din ke andar yeah piles mass sukh karke aur ye nikal jata hai. Toh is tarah se mai suggest karna chahunga ki log isme surgery ki bajai log Ayurvedic chikitsa ko apnaye aur yeh surgery se adhik kargar bhi hai aur suvidhajanak bhi hai. Toh dosto ye information aap baaki logo ke sath share kijiye aur iska labh uthaye. Aur agar koi problem hoti hai to aap meri website www.ayurcare.com ya Lybrate ke through hame sampark kar sakte hain.

Thank you very much.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Hemorrhoids treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details