Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Know More About Polycystic Ovarian Disease

Profile Image
Dr. Pradnya AptikarAyurvedic Doctor • 29 Years Exp.B.A. Sanskrit, BAMS, M.A. Sanskrit, MS -Gynaecology Ayurveda
lybrate_youtube

Namaskar, mai Dr Pradnya Apitkar Thane mein practise kr rahi hun as a Ayurvedic Gynaecologist. Pichale bees saalon se practise kr rahi hun. Aaj hum iss video mein thodi baat-cheet karenge, PCOD ke patient mein jo cosmetic problem aate hain uske bare mein. Jaise bahut si ladkiyan aati hain hai fall, jaise baal girna aur pimples ki shikayat leke. Muh ke upar acne yani pimples bahut baat jo pitikayen rehti hain choti-choti wo bahut si aa jati hain. Toh bahut baar ye cosmetic problem karke uske baare mein, chikitsa ya fir treatment kaise kiya jata hai uske bare mein pucha jata hai. Lekin agar hum detail history lete hai toh bahut si ladkiyon ke periods irregular rehte hain ya fir bahut si ladkiyon ke periods regular hone ke bawajood agar menstrual flow jo rehta hai, bleeding agar kam ho, scanty menses ho, ya kabhi-kabhi jayada bhi ho jaise menorrhagia jaisi conditions rehti hai jisme period ke dwara jayada rakt sarah hota hai. Toh ye jo shikayatey hain, wo directly relate kerti hain cosmetic problems mein. Jaise ki PCOD mein ovulation yani ki anda job anta hai woh bahut deri se banta hai, ya kabhi-kabhi banta bhi nahi hai. Toh uski wajah se strivishisht hormones jo hain wok am hote hain aur jo purush vishisht hormones hain jisme testosterone jaise hormones rehte hain, wo shareer mein uski matra bad jati hai aur uski wajah se facial hairs jisse hirsutism bolte hain, jaise daadi ya much jaise baal aane lagte hain aur jo sar ke baal hote hain jo ki zaruri hai usme wo hair fall ke jaise symptoms dikhayee dete hain. Usme jaise hum bolte hain ki testosterone induced aur dependent alopecia, usme baal gir jate hain. Aur uske alwa muh ke upar, gaalo ke upar baal aana, ya fir phunsia jaise acne jise bolte hain, pimples jise bolte hain wo aana shuru ho jate hai. Usme kai baar pus formation hota hai, kai baar dard jayada hota hai aur uski uttpatti jayada der hone ke bawajood usme scars taiyar ho jate hain, jaise chehre ke upar daag taiyar ho jate hain. Toh iske upar ayurved mein bahut achche se ilaj hai, isme jaise face pack bhi hai, head massage bhi hai aur uske alawa jo underline jo uska root cause hai, jaise hormonal imbalance hai, testosterone ki matra badu hui hai usko balance karne ke liye hum pait mein kuch dawaiyan dete hain. Panchkarma ka bhi isme istemal kiya jata hai, jaise ki virechana ho, vasti treatment ho ye sab cheeze hamare yahan ki jati hai ki jisme hum iske upar puri taranh se milke root cause ke tahat hum ja sakte hain.

Aur iske alawa more information, jayada information chahiye, treatment chahiye you can contact me through Lybrate .com. Thank You.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Polycystic Ovary Syndrome treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details