Know More About Vaginal Infections
Hello, everybody. I am DR Pradnya Aptikar. I am practising gynaecology in Thane from last 17 years. I am treating females having Gynaecological and obstetrical problems. Aaj is video me hum baat karenge Vaginal infections ke baare me jo ki bohot common hai females me. 14 years ki ladkiyo se lekar 70 years ki ladies me bhi hume dikhai deta hai.
Iske bohot types hai, jese ki;
Ek hota hai safed paani jesa jiska appearance thick, white hota hai, kisika yellow hota hai, kisika brownish, kisika greenish ya fir kisika paani jesa bhi hota hai. Iski wajah se bohot sare symptoms hote hai, jese ki lower abdomen me pain hona, lower back pain, vaginal itching. In symptoms ki wajah se females ki day to day life bohot he difficult hojati hai. Bohot problems hoti hai
Baar-baar in infections ke hone ki wajah se kuch females me infertility dikhai deti hai. So, this is a very common factor.
Iske liye hum jaankaari lete hai ki ise ayurveda se kese treat kiya jaae? Aur ye kyu hota hai?
Reproductive age groups me vaginal infections normally nahi hona chaie. Vagina ka jo pH rehta hai, that is acidic pH. So, normally we have all the resisting power against all the infections. But koi cheezein aisi hoti hai, jese ki unhygienic conditions, ya fir menstrual period me proper hygiene nahi rakhne se, ya fir during delivery period, ya fir delivery ke baad ke 3-4 months ke time duration me proper hygiene na ho, ya fir apki immunity power kam ho. Aisi cases me infections ho sakte hai, ya fir apko frequent urinary track infections ho sakte hai. Iske lie Ayurvedic treatment, jise hum kehte hai Yonidhavan.
Iske liye hum herbal medicines are decoction karte hai, uska kadah bana ke hum baginal track wash kardete hai. Ye sitting me kiya jata hai, iske liye 7-15 sittings lagte hai. Aur kabhi kabhi cervix, uterus ka mhu pe swelling hoti hai, jese chronic erosion rehti hai, jiski wajah se white discharge ki complaint bar bar rehti hai.
Iske liye hum Pap smear test karte hai jisse ki hume inflammation, infection, cancer etc rule out kiye ja sakte hai. Ise test karne ke baad he hum vaginal treatment dete hai. Isme 7-15 sittings hote hai. Ise hum Ayurvedic herbs ke zariye theek karte hai jisse ki ye poora theek hojata hai. Humare treatment se yeh infection bar-bar nahi hota hai aur apki immunity badhane ke liye hum apko oral herbal medicines bhi dete hai.
Iske ilawa apko koi jankaari chaie ho to aap mujhe lybrate.com ke through contact kar sakte hai.
Thank you.
Also Read: Benefits of Namyaa Intimate Hygiene Wash