Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 25, 2024
BookMark
Report

Know More About Vitiligo

Profile Image
Dr. Smita PriyadarshniDermatologist • 13 Years Exp.M.D. DERMATOLOGY
lybrate_youtube

Namaskar!

Main Dr. Smita Priyadarshni, Priyadarshni Skin Clinic, Dilshad Garden, Delhi se hun. Me aaj vitiligo ke bar me aapse bat krungi. India me ye bimari 2-4% logon ko hoti hai. Jyadatar ye bimari 10-30 saal ke bich me dekhi jati hai. But ye bimari kisi bhi age group ko ho skti hai. Jyadatar ye bimari autoimmune disease ke sath like thyroid and sugar ki bimari ke sath dekhi jati hai. Vitiligo me hmari skin ka color milanin or ek pigment hota hai. Hmari skin me melanocytes hote hain, ye unko produce krte hain. Agar ye destroy ho jayen to ye bimari hoti hai. Vitiligo ke types hain non-segmental and segmaental vitiligo. Segmental vitiligo bachon me hoti hai or ye body ke kisi ek part me hoti hai.

Ye dheere dheere size me badi hoti hai. Non-segmental vitiligo khin bhi ho skti hai body me or kafi jldi ye dure parts kobhi effect krti hai. Ye maximum bade logon me hota hai and ye thyroid, arthritis, sugar ke sath dekha jata hai. Logon ke maan me kafi myths hain is problem ko lekar. Ye ek myth hai ki safed khana khane se, safed kapde pehnne se, dhoop me jane se ye bimari hoti hai. Vitamin-D deficiency se ye bimari hoti hai and dhoop me thodi der rehne se is bimari ko thik kia ja skta hai. Ab hum treatment ke bare me baat krenge. Vitiligo ko 90-100% recover kia ja skta hai. Iske 3 types ke treatment hain. 1st: Medical therapy - Isme khane and lgane ki medicines di jati hain.

2nd: Phototherapy - Isme laser se is bimari ko thik kia jata hai. 3rd: Surgical treatment. Isme surgeries kayi types ki hain. Ye surgeries 3-6 months me repigmentation ho jane me maddad krti hain. Islia kisi ko face or hands me vitiligo hai to 100% pigmentation aa jati hai. Narrow band UVV ki machines se vitiligo ko thik kia ja skta hai jinki body pe 50% iska problem hai. Islia self-medications na kren or ek doctor se milke iska treatment len. Hmare clinic pe hum sare types ke treatment dete hain. Aap mujhse mere clinic me contact kar skte hain through Lybrate.

 

Thanks!

 

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Vitiligo treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details