Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Know The Myths About Laparoscopic Surgery

Dr. Gaurav ShrivastavGeneral Surgeon • 21 Years Exp.MBBS Bachelor of Medicine and Bachelor of Surgery, MS Surgical
lybrate_youtube

Hi,

I am Dr. Gaurav Shrivastav, General Surgeon. Aaj hum discuss karenge laparoscopy surgery ke baare mein. Kuch common misconceptions hain logon mein regarding laparoscopic surgery. Ise durbin aur minimal invasive surgery bhi kehte hain. Toh pehle jo conventional surgery kiya karte the, us se kya farak hai, us se kya benefit hai laparoscopic surgery karne mein, patient ko ya fayda hota hai, patient ko karana chaiye ya nahi. Sabse pehle question aata hai ki what is laparoscopic surgery. Kayi log aam bhasha mein ise laser bhi bolte hain. Pehla misconception toh yahi hai ki ismein laser ka koi use nahi hai. Ye durbin se kari jane vali ek surgery hai. Jismein operation special instrument ke through kiya jata hai. Body ke andar ke hisse ko dekhne ke liya special camera ka use kiya jaata hai. So, bade operation or laparoscopic surgery mein difference yahi hai ki laparoscopic surgery chote cut se ki jaati hai. Pehle surgery body mein bade cuts deke ki jaati thi. Aur advancement ismein ye hai ki mini laparoscopic surgery ke cuts ek dot ke size ke hote hain. So, is surgery se kya fayda hai.

Sabse pehla question aata hai ki patient ko kitna time hospital me rehna hoga. Operation ke baad kitna bed rest chaiye hoga. Apna routine work kab start kar payenge. so, in dono surgeries mein major difference hai ki laparoscopic surgery se patient jaldi hi bed se khada ho sakta hai. Quki peat mein jo cut lag rha hai, us se pain kam hota hai, stitches kam aate hain, bistar se uthna jaldi ho jata hai. Ismein aisa koi bed rest recommend nahi kiya jata hai. Patient khud chal ke ghar ja sakta hai. Conventional surgeries mein patient ko hospital mein 2-3 days rukna padta hai but laparoscopic surgery mein majority of the patients ko agle din ghar bhej diya jata hai. Aaj kal daycare surgeries bhi ki jaane lagi hai. Jismein subha operation kar ke sham ko patient ko ghar bhej dete hain. Ek hafte se jyada physical activity karne mein ismein time nahi lagta jaise conventional surgeries me 2-3 weeks lag jaate the. Patient 2-3 days ke baad hi apne regular work kar sakte hain. Bhari saman uthana, long drives, jyada der tak baithna ye sara kam bhi conventional surgery ke mukable jaldi shuru kiya jaa sakta hai.

Toh aap ka jo economic and physical burden hai surgery ka bohot hadd tak laparoscopic surgery ki vajaha se kam ho gaya hai. Dusra jo young log hain unmein bada chira bura dikhta hai. Jayada stitches bhi aate hain. Nishan bhi bada dikhta hai. So, laparoscopic surgery cosmetically beneficial hai kyuki chote cuts 80% logon mein dikhte nahi hai. Mini laparoscopic surgery mein pata bhi nahi chalta hai ki operation hua bhi hai. Aisa hi hota hai ki young logon ko physical activity start karni hai like running, jogging, exercises, ye activities aap 10-15 days mein hi start kar sakte hain. Cost wise laparoscopic surgery conventional surgeries se thodi costly hain kyuki inmein special instruments ka istemal hota hai. Ye har jagha hoti nahi hai. Kuch hi hospitals mein ye surgeries ho sakti hain. Laparoscopic surgery se har type ke surgeries ko kyia ja sakta hai like gallbladder, hernia, appendix, intestine, kidney, chest, thyroid, har problem ko treat kiya jaj sakta hai. In sari chizon ko dekhte hue agar aap afford kar sakte hain toh benefit jrur len. Isliya aap apni surgery jrur laparoscopy se karaiye. Taki aap ko sare benefits mil saken. Laparoscopic surgery is always better than conventional surgeries.

Thanks!

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Laparoscopy treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details