Know The Types Of Sexually Transmitted Diseases (STD)
Hi! I am Dr. L.A Dongarwar, Ayurveda. Today I will talk about sexually transmitted diseases. STD ek hue topic hai. Ismein bahot sari problems hoti hain like syphilis, gonorrhea, herpes, HIV etc. Syphilis agar ek partner ko hai to dusre partner mein intercourse ke 1 week baad iske sign dikhne start ho jate hain. Patient ko ulcer hota hai and ulcer thik hone ke baad patient ko lagta hai ki uski problem solve ho gyi hai. But virus blood mein chala jata hai. Agar patient treatment nhi leta hai to ye 1-2 years mein 2nd phase mein aa jata hai. Or ye problem skin pe dikhne lag jati hai. Agar treatment nhi kia to heart ki artery mein patlapan aa jata hai and burst ho jati hai. 2nd is gonorrhea. Ismein urethra se penis ke through pus aana start ho jata hai. Usmein burning sensation hota hai. Patient uneasy rehta hai. Uska treatment nhi hua to infection blood me aa jata hai. Next is candidiasis jise fungal infection bhi kehte hain. Ismein skin pe white coating ata hai and baad mein itching start ho jati hai. Agar treatment nhi hua to foreskin mein cut aa jata hai. HIV bhi unprotected sex se hota hai. Blood sample leke ye diagnose kia ja skta hai. Myth hai ki patient ko lagta hai ki use 8 days baad pta chalega infection ka. But aisa nhi hai. Isliye infection hone ke 1 saal mein hi IADS kbhi bhi patient ko ho sakta hai. Patient ko hum advice karte hain ki intercourse 1 month baad blood test karao. Agar vo negative hai to 6 months baad test karao or vo bhi negative hai to 1 year ke baad test karao. Agar teeno report negative hai to it means patient is free from HIV. Mai apko end mein ye btana chahunga ki prevention is better than cure. Isliye aap ko unprotected sex nhi karna chaiye. Multi partner se contact na rakhen jis se aap in sab infection se safe reh sken. Agar aap ko koi query hai to Lybrate ke through contact karen. Thank You.