Laparoscopic Cholecystectomy - Know More About It!
Hello,
My name is Bharat Chaudhary, I am general laparoscopic surgeon. Aaj aaj ham log laparoscopic cholecystectomy matlab durbin se jo pit Ki thaili nikaalte hain sske bare mein baat karege aur pitt ki thaili nikalni kyun hoti hai bahut se log confuse hote hain ki kyon nikalni hoti hai, uska main karan hota hai ki pit ki thaili ke andar pathri ho jana Uske bahut sare karan hai keval mujhe hi kyun pathri ho gai, nahi yeh bohot common hai gents ke andar hoti Hai female ke andar hoti hai lekin female ke andar bohot common hoti hai agar samjhenge 10 logon ko pit ki thaili mein pathri hui hai usmein se 8 auraten hogi aur 2 aadami hogi Abhi ruko main aapko uske bare mein detail mein Bata deta hun ki pitt ki thaili mein pathri kaise hoti hai, normally pitt ki thaili mein jaise ki aap diagram dekhenge yeh pit ki thaili hoti hai aur yeh liver ke niche hoti hai iska main kaam hota hai jo liver se jo pit nikalta hai usko gada karna normally pit kaisa hota hai patla pani se halka hota hai aur pitt ki thaili ke andar jakar ghada ho jata hai ghee ki tarah. Normally ham jo bhi khate hain ghee-tel bohot common ho gaya hai bahar ka junk food khana, ghee-tel kuch bhi khate hain wo usko pachane ke liye pitt ki thaili se ghada pit nikal ke usko pachata hai.
Agar samjho iske andar pathar ho gaya jab bhi pitt ki thaili sikoorti hai pitt nikaalne ke liye to usmein pain hota hai isliye bolte hain log main kuchh bhi kha leti hun bahar ka mujhe pet mein dard hota hai upari bhaag mein dard hota hai, gas hota hai, picche kamar mein dard karta hai ya pure shareer mein dard karta hai ab iske liye ham logon ko pitt ki thaili nikaalni padati hai purane time mein log kya karte the ek bahut bhara bada cheera kam se kam itna bada cheera markar pitt ki thaili katkar bahar nikal dete the aaj bhi vahi treatment karte hain ham pitt ki thaili katkar bahar nikalte hain aaj bahut chhote cheere se Jahan se chhoti si patali si pen ka nishan, kitni patali hoti hai jiise ki durbin andar jaye aur do teen jagah aur jisse ham instrument dal kar uska operation Karein. Uske liye ghabrane ki jarurat nahin hoti hai uske liye main aapko ek chhota sa photograph dikhata hun usse aap samajh jayenge ki kaisa karna hota hai uska ye jo photograph dikh raha hai iske andar bataya hua hai ki ham durbin daalte hain aur do chhote port hote hain jahan se ham uske andar operation karte hain iske liye team lagti hai akela doctor nahin kar sakta teamwork hota Hai jisse ham pitt ki thaili ko us raste se nikal lete hain.
Yeh badi surgery nahin hoti daycare bol sakte hain samjho agar patient ek dam fit hai, koi issue nahi hai morning mein humne surgery kiya sham ko apne ghar per ja sakta hai kal se apna kam kar sakta hai yhi usmein benefit hota Hai mainly. To iske liye koi badi cheez nahi hai, Haan bohot log bolte hain bohot chhota operation hai, nahi chhota operation nahi hai agar expert ne kiya to bohot accha operation hai kahin baar bohot saare complications bhi ho jaate to uske liye ghabrane ki jarurat nahi hoti expert ke hath mein ho to kuch ghabrane ki jarurat nahi hai yeh hai durbin se operation karne ka tarika Ham yahan par hamare centre mein durbin se operation karte hain, baaki bohot sari cheezon ka operation karte hain. Hamare saath orthopedic doctor bhi hai jo iske andar operate karte hain yeh jo hamne bataya hai iske alava or detail mein malum karna hai to aap lybrate site par jakar find out kar sakte hain.
Thank you