Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Feb 26, 2024
BookMark
Report

Leg Swelling

Profile Image
Dr. Himanshu VermaVascular Surgeon • 19 Years Exp.MBBS, MS - General Surgery, Fellowship in Vascular Surgery, Ted Rogers Fellowship
lybrate_youtube

Pero me soojan ek aam samasya hai. Hindustan me mahilaayo me, saree pehenne ki wajah se to adhiktam soojan hoti hai, or kisi samsyaaein hai jo ya to shuruaat me ignore ki jaati hai or dheere dheere problem tab he present hoti hai jab unki condition kharab ho jaati hai. Humara ek initiative hai, "hiding underneath the saree", jisme hum patients ko, specially un mahilaao ko jinko pero me soojan rehti hai. Unko hum regular consultations provide karte hai patients ko, aur free health tips dete hai ki kese pero ki soojan ko sahi samay se pehchana ja sakta hai.

Varicose vein pero ki soojan ka ek aam kaaram hai. pero me 2 prakar ki khoon ki nass hoti hai, jisme ek hoti h artery aur vein. Artery heart se khoon ko pero me lekar aata hai or vein se khoon wapas pero se heart tak jata hai.Varicose vein, veins ki problem hai. Isme khoon pero se wapas heart ki taraf nahi ja pata hai, or isme kuch leakage points develop hojate hai, jisse ki khoon pero me he leak kar jata hai or ek closed loop form hojata hai.

Agar kisko is prakar ki problem hai, jese pero me dikhti hui veins hai, ya fir koi ghaav jo bohot dino se nahi bhar raha hai. Me un patients ko pero k ultrasound ki salah dunga jisko hum duplex ultrasound kehte hai. Isme jisko pero me leakage aata hai use Great saphenous Veins, GSV kehte h.

Great Saphenous Veins mein agar koi leakage aata hai to use bina kisi surgery ke, injection dwara treat kiya jata hai. Is method ko hum Radio ablation ya Radio frequency ablation bhi kehte hai. Is process me hum khoon ki nass ko hum injection dwara garam kardete hai or band kar dete hai. Iska koi side effect nahi hota hai. Khoon ki nass band karne se koi problem bhi nahi hoti hai. Is surgery k lie patients same day surgery ke bad he discharge hojate hai. But patients ko 6 weeks tak stokines pehenni zaruri hoti hai. 6 hafte k bad hum fir se ek ultrasound karte hai leakag check karne k lie. Aur leakage band hote he aap ek normal life jee sakte hai.

Har varicose vein ko laser ya radiofrequency surgery ki zarurat nahi hoti hai. pero me agar swelling hai, specially agr dono pero me swelling hai to varicose diagnose ki jagah liver, heart ya kidney ka cheup hone zaruri hota hai. Kyuki agar koi bhi major organ me problem aati hai to starting condition me pero me soojan kar sakta hai.

Agar apke ghar parivar me kisiko is prakaar ki samasya hai. Ya pero me hari ya neeli veins dikhti hai to uske lie aap varicose vein ka check up karwa sakte hai.

Aap mujhe lybrate k through contact kar sakte hai. Nahi to aap humare clinic pe appointment book kar sakte h

Thank you.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Swelling of Legs treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details