Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Leucoderma (Vitiligo)

Profile Image
Dr. Tanuj VeerbhanSexologist • 16 Years Exp.Bachelor of Ayurveda, Medicine and Surgery (BAMS), MD - Ayurveda
lybrate_youtube

Namaskar dosto, mai Dr Tanuj Veerbhan senior consultant at Sanjeevani Ayurveda Ashram Ghaziabad. Aaj hum baat karenge Leucoderma ke bare mein, leucoderma jisse hum vitiligo ya safed daag bhi bolte hain, kafi jatil rog hota hai. Sabse pehle hum yeh janana chahege ki actual mein yeh hota kya hai, dekhiye vitiligo mein ya Leucoderma mein kya hota hai ki aap ki body ka jo rang hota hai jo safed daag jis tarike se hum dekhte hain, ki body ka jo rang hai wo ya aap ki skin ka colour hota hai, woh melanin ya ranjak pitt wajah se hota hai. Agar is melanin ya ranjak pitt mein kisi bhi tarah se koi vikriti aa jati hai, toh aap ki body ke upar jo spot bandta hai woh white ya pink colour ka spot ban jata hai aur woh dheere-dheere bad jata hai. Sabse pehle hame dekhna hai ki actual mein hi hota kyu hai, dekhiye ayurved mein toh iska basic cause bataya gaya hai, lekin kafi saree jo aaj ki jo patches hain, ya phir aaj ki jo modern jo science hai usme iska basic cause toh kuch nahi bataya gaya hai ayurved ke according isme bataya gaya hai ki aapka pitt vardhak aahar-vihar ya phir virudh aahar ya vihar ko sevan karne se yeh ismein jo ranjak pitt hota hai, iske andar vikrati aati hai, uski vajah se aap ki body ke upar dheere-dheere jo pink colour ke kuch spot aana shuru ho jate hain aur dheere-dheere unka rang badalte hue woh white colour mein tabdeel ho jata hain. Dekhiye virudh aahar mein sabse pehle kya aata hai, virudh aahar woh cheeze hai jo aapko kuch aise woh product jo aap ko saath mein nahi lene chahiye, jaise ki aapko aaj ke time mein kaafi log fish oil ke jo capsules aate hain woh use karte hain lekin fish oil ke capsule kabhi dudh ke sath na le, non veg ke upar doodh peena, namak ke sath doodh lene jo aaj ke time mein kaafi normal hai, log morning mein sab nashte mein is tarah ke achar ke sath doodh ye sab kuch liya jata hai, yeh saree jitni bhi cheeze hoti hai pitt vardhak hoti hai unke saath agar hum doodh ka sevan karte hain toh yeh virudh aahar hai. Toh virudh aahar ka agar hum sevan karenge to vitiligo hone ke chances ya Leucoderma hone ke chances jyada hote hain.0020Dekhiye waise toh yeh genetically bhi dekha gaya hai, ki kahi genetically bhi yeh aata hai kuch aage se aapko jaise father ko hai toh bacchoo mein hone ke chances hote hain, lekin yeh abhi scientific proof to hai nahi yeh cheez ke bhy yeh is tarike se ho sakta hai ya nahi. Ab rahi baat is ko treat karne ki toh dekhiye jis tarah se ye mein shuruvat mein bataya ki vitiligo kafi jatil rog hota hai toh isko treat karne ke liye bhi aapko patient ko bhi kafi patience rakhna hota hai, isko treatment ke liye kafi dharaye ki zaroorat hoti hai kyunki isme kya hota hai na jo aapke bade hue jo dosh hote hain body mein unko sabse pehle hame balance karna padega, pehle bade dosh ko balance karne ke baad mein aapki jo raqt hota hai, raqt ko shudhi mein zaroor hoti hai toh raqt ki shudhi karne ke baad mein, raqt ke shudhi karan hone ke baad mein dheere- dheere isme jo aapke jo patches hote hain woh dheere-dheere gulabi rang ke hona shuru hote hain, aur uske baad mein iska dheere-dheere pe black colour ke chote-chote spot aana shuru ho jate hain, aur dheere-dheere wo spot sare mil jate hain aur dheere-dheere ye rog thik hona shuru ho jata hai. Ayurved mein isko jo hai kafi acche se iska upchar bataya gaya hai aur kafi acche isme result bhi aate hain ayurved mein iska. Toh in cheezon ka aap ko kafi acche se dhyan rakhna chahiye ki bhi hame kya cheeze saath mein leni hai aur kya cheeze hai hame sath mein nahi leni hai. Aur ek cheez aur mein batana chahta hoon ki kaafi sare patient aate hain aur wo puchte hain is baare mein, kyuki kafi jagah aisi bhi hai jahan pe is cheez ko chua-chut ka rog mana jata hai ya kuch log maante hain ki bhi yeh isko agar yeh safed daag hua hai toh yeh kuch alag tarah ki koi bimari hai. Toh main aap sabko ye batana chahunga ki aise koi yeh chua-chut ki koi bimari nahi hoti hai na hi yeh ek dusare ko chune se koi fallthy hai. Aur na hi aisa kuch hai ki bhi kisi ne koi burey paap kiye hai, ya phir koi burey karm kiye hai jiski wajah se safed daag hone ke chances hote hai. Aisa kuch nahi hai aap agar chahe toh ye bade acche se treat ho sakta hai lekin iska treatment ke liye aapko shuruvat mein jitna jaldi iska treatment shuru ho jayega utna jaldi isme result aa jata hai. Baccho main toh aur jaldi result aa jata hai, kai baccho mein dekha gaya hai ki bhi unko pet mein keede hote hain, toh un keedo ki wajah se bhi safed daag hone ke chances hote hain. Lekin sabse pehle jo ek bahut zaroori baat hai woh main aapko ye batana chahunga ki aap ko hamesha, normally aap agar kisi bhi tarah ki skin ki disease ho toh uss mein sabse pehle aap ko ye dhyan rakhna hai ki is tarah ki koi bhi cheeze jo saath mein lene layak nahi hoti hai unko aap ko saath mein nahi lena chahiye. Dhanyavad, Thank You.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Vitiligo treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details