Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Lifestyle Diseases

Profile Image
Vedic GramAyurvedic Doctor • 16 Years Exp.Vedicgram Ayurveda
lybrate_youtube

How Yoga and Naturopathy helps manage Lifestyle diseases?

Vedic Namaskar. Mai Dr. Suresh Gujjar. Naturopathy and Yog Department, Vedic Gram. Mai aaj aap ko bata raha hun aaj ki bhaag daud wali zindagi mein jo rogo se hum garshit ho rahe hai un rogo se bachaw k liye Yog aur Naturopathy ka kya mehetwa hai. Yog aur Naturopathy k dwara hum uss lifestyle jo humari kharab ho chuki hai, jo jewan chariya hum bekar kar chuke hai un sab se bahar aane k liye, un bimariyo se bahar aane k liye Yog aur Naturopathy aap ka kaise help karta hai. Sabse pehle aaj subah uthne se leke shaam ko sone tak hazaro aise kaam rehte hai jinka sharirik aur mansik dabaw humare upar rehta hai.

Aaj 3 saal se lekar k 100 saal ka jo baccha ho yuwa ho ya wridh ho sabhi tanaw wali zindagi jee rahe hai. 5 saal ka baccha hua nahi ki usko bag leke school jana hai, shaam ko tution karna hai fir video game ya TV se uski puri lifestyle, fir raat ko late se khaana, late se sona hai, subah late uthna hai yehi aaj lifestyle humari ho gayi hai. Air pollution, jaise hi hum bahar nikalte hai puri pollution hi pollution nazar aati hai, in sab se jo rog ho rahe hai, sabse zyada diabetes, madhumeye k rogi bohot hi zyada aaj aap k samne dikhai dete hai. High blood pressure, mansik tanaw, pet ki samasyayein jo fast food k karan ho rahi hai, in sab mein naturopathy kya kam karta hai, yog kya kam karta hai, kaise un chiz ko, un bimariyo ko hum dur kar sakte hai.

To Naturopathy kya karta hai, Naturopathy ka matlab hai prakritik. Humara sharir jo hai unhi 5 tathwo se bani hai jinse prakriti bani hai- aakash, wayu, aagni, jal aur prithvi. Ye 5 mahabhut. Inhi panch mahabhuto se humara sharir bana hai. Prakriti swayam mein ek chikitsak hai, agar hum prakriti k sath chalte hai to bade se bade asadhya rog ko bhi hum prakritik chikitsa k dwara, yog k dwara thik kar sakte hai. Lekin aaj hum allopathy chikitsa k taraf, fasat result mile islye hum injection, tablets inhi pe zyada wishwas karte hai. Lekin ye sab kya karte hai, humari bimari ko thik karne k bajai inhe daba rahi hai, aur jo bimari dabti hai, koi bhi chiz ho, agar dharti k niche bhi koi chiz dabti hai koi hulchal hoti hai to wo jwalamukhi k roop mein bahar nikalta hai. Aise hi humare sharir k andar jo toxins ikkatthe ho jaate hai to wo kisi na kisi rog k roop mein, kisi badi bimari k roop mein, shuruwat mein phode phunsi ityadi k roop mein bahar nikalne lagte hai ya kabz ya ulti waman in chizo k dara bahar nikalne lagte hai. Aur agar kaafi lamba procedure ho jaata hai to cancer, asthma aisi chize bhi dheere dheere ban jaati hai. To in chizo ko hum prakritik chikitsa k sath kaise thik kar sakte hai.

Wayu chikitsa mein upwas chikitsa jo Naturopathy mein bataya gaya hai, upwas ek bohot hi acchi ousadhi hai jaise ki pashuye bimar hone pe apna khaana aur peena chor dete hai waise hi agar insaan bimar hone pe upwas chikitsa ka sahara le leta hai to bagair kisi problem k aapne bimari ko thik kar sakta hai. Aise hi hum jal chikitsa mein aate hai, jal k visesh prayog hai. Aaj hum jaldi jaldi khaade hoke paani peete hai, bootle se paani pete hai, bhagte huye paani pete hai, eksath adhik paani pete hai. Prakritik roop se bhi kaha gaya hai k upar waale ne humein 32 daant diye hai, jo khaana khaate hai jaldi nahi khaa pa rahe hai, fast food kha rahe hai. 32 daant ka matlab hai k pratyek grass ko aap ek ek bar chabao to wo bilkul liquid form mein aa jayega aur kaha gaya hai k paani ko khaane k tarah piyo aur khaane ko paani k tarah to aap k pet ki koi bhi problem nahi hogi. Agar aap ki lifestyle sahi hai, raat ko sahi time pe soote hai to na hi aap o sharirik aur mansik wikar honge na hi tanaw wysat honge.

Isme agar hum yog ka bhi sahara lete hai, to yog jiske baare main aaj kal bohot hi jankari ho gayi hai lekin aaj bhi logo ko yog k andar jo hai vo ab bhi logo ko nahi pata. Yog ka matlab sharir ko todna phodna yehi lagta hai. Lekin yog to ek bohot hi baada samundar hai uska ek chota sa hissa yoga hai. Humne sharir ko moda to hum yoga karte hai. Yog ka matlab hai aap apne aap ko sharirik, mansik aur adhyatmik roop se swasth rakhne ki jo kriya karte hai use yog kehte hai. Aap ne ek do aasan kar liye aur yog ho gaya nahi ye galat hai. Yog ka matlab wahi hai k aap aatma ko parmatma se milaye.

Lekin aaj hum sanskarik yug mein rahte hai jaha aatma o parmatma se milane ka matlab aap apne aap ko swasth kaise rakh paate hai. Sharirik, mansik aur adhyatmik level pe aap apna balance kaise bana k rakh paate hai, isilye yog k andar visesh aasana, aasana k andar hum pranayam, dhyaan, in 3 chizo ko bhi agar hum apnaate hai to hum bohot chizo se mukt ho sakte hai, bohot se wikar dur kar sakte hai. Agar hum sharir k andar bina koi dawai liye bhi, bohot se aisi chize hai jaise nariyog, humare naari k surya aur chandan, aap bohot se bimaari ko surya aur chandan chalakar bhi thik kar sakte hai.

Iski agar aap ko adhik jankaari chahiye to aap Vedic Gram me aa kar humse sampark kar sakte hai ya Lybrate pe humse sampark kar sakte hai.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Yoga treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details