Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Oct 30, 2024
BookMark
Report

Lifestyle disorder

Profile Image
Dr. Tanuj VeerbhanSexologist • 17 Years Exp.Bachelor of Ayurveda, Medicine and Surgery (BAMS), MD - Ayurveda
lybrate_youtube

Namaskar dosto, mein Dr Tanuj Veerbhan senior consultant at Sanjeevani Ayurveda Ashram Ghaziabad. Aaj hum baat karenge lifestyle disorder ke baare mein, sabse pehle main aapko ye batana chahta hoon ki lifestyle disorder hote kya hai aur uske andar kon kon si bimari hoti hai. Lifestyle disorder jo aapki disturb lifestyle ya disturb jeevan shaili ki wajah se paida hote hain, jiske andar obesity, diabetes, high BP, high cholesterol, stress related disease, hormonal imbalance related disease jisme PCOD wagera aate hain. Yeh saree disease or saath mein gastric trouble jisme constipation wagara yeh sab kuch lifestyle disorder ki wajah se paida hote hain. Lifestyle disorder mein hamari jo din charya hoti hai jisme hum subah late uthna, late sona ye saari ki saari jitni bhi hamari problems hoti hai sab lifestyle disorder ki wajah se hoti hain. Lifestyle disorder ki vajah se aab rogo ki utpatti kis tarike se hoti hai, dekhiye jo bhi aap kahte hain, ya jo bhi aap ki lifestyle hoti hai uski wajah se body ke andar vaat pitt cough jo hote hain unme imbalance paida hota hai aur in mai imbalance ki wajah se aapko yeh disease paida hoti hai. Aaj ke time mein jis tarike se hamare lifestyle hoti hai, usme hum apne kisi bhi tarike se apne aap ko santulit rakhne ki koshish nahi karte hain. Sharir ko ayurved mein prakriti ke anusar aap ke sharir ko bata gaya hai. Aur usi prakriti ke anusar aapko aahar-vihar ka sevan karna chahiye tabhi aap apne aap ko swasth rakh sakte hain. Ayurved mein aapki jo 12mahine jo hote hain unko bhi ayurved mein 6 rituoo mein bata gaya. Aur inhi 6 rituoo according aapko aahar-vihar ka sevan karne ki bhi salaha di gayi hai jaise ki sardiyo mein agar aap din mein sote hain, toh aap ki kaff ki vriddhi hoti hai, jabki garmiyon mein din mein sone se aapki body rejuvenate hoti hai. Jis tarah se aap rahi baat vyayam ki, vyayam aap ki body ke liye jitna aap ki body ka baal hota hai sharir ka jo bal hota hai uss bal ke anusar aapko aadhe bal ke hi vyayam karna chahiye jab ki aaj kal hum dekhte hain ki, kaafi sare log din mein 3 ghante, 4 ghante, 5-5 ghante gym karte hain jab ki woh galat hota hai usse kahi na kahi aapko koi na koi disease aage chal ke paida ho sakti hai. Aaj ke time mein jis tarah se PCOD, gallbladder main stone yeh sari jitni bhi disease aaj ke time mein paida ho rahi hai, yeh kahi na kahi vyayam ki kami ki wajah se ho rahi hai. Vyayam kam karne ki wajah se aapke PCOD mein cyst banana shuru ho jata hai, aur gallbladder ka jo biled hota hai woh dheere-dheere gada hona shuru ho jata hai. Kyun ki usme liquid deposit hona shuru ho jata hai aapki cyst mein liquid deposit ho jata hai, ovaries ke aas paas toh uski wajah se ye saari ki saari disease paida hoti hai. Agar aap vyayam kare toh yeh kaafi saree disease aapko na bhi hoon, yeh aur isi ke saath jis tarah se night shift mein jo log kaam karte hain unko constipation ki bahut jyada dikkat hoti hai kyunki unki body ki vayu bad jati hai. Vayu badne ki wajah se unko constipation, gastric trouble, pet mein gur-gur iss tarah ki shikayate hoti hai. Agar woh subah uth ke apni body ke upar ek baar oil ki malish karle acche se toh usse unki badi hui vayu hoti hai wo kaam ho jati hai, unko constipation ya gastric trouble hoti hai wo kafi hadd tak thik ho sakti hai. Aaj ke time mein jis tarike se software engineers hote hain unko kafi saree disease jinme hum computer related diseases CRI inko bolte hain usme unke haatho mein numbness aana, cervical ke symptoms aana, aankhon mein dryness aana yeh sare ke sare jitne bhi symptoms hote hain CRI injuries jo hoti hain computer related injuries jo hoti hai unke andar aati hai. Toh hame unko kis tarike se hum body ko santulit rakhe hum apna aahar-vihar kis tarah se santulit rakhe. Taki hum inn saree disease se bach sakte hai kyunki agar hum thoda sa bhi in choti-choti baaton ka dhyan rakhenge toh hum kafi haad tak in bimariyon se bach sakte hain. Thank you very much.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Staying Healthy treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details