Lifestyle Disorders - Causes & Impact
Hello Everyone!
I am Dr. Pradnya Aptikar. Practicing as an ayurveda gynecologist in dhany for last many years.
Abhi aj hum is karekaram main bat krn gy lifestyle disorders k bary main. Jaiys k ap ko sb ko pta hai k abi agly 20 saal main zyada beemariyan barh rai hain. Jis main hain diabetes or thyroid or PCOD. Ye teeno chezain hamein bar bar dekhai deti hn. Or jo patients aty hain un main bhi yahi chezain dekhai deti hain. To is ka karan kya hai? To agr hum dekhain to these are lifestyle disorders. Hamary jo khany peeny ka, rehn sehan ka timing badal gya hai. Stress bhi zyada barh gya hai to us ki waja sy ye sb teeno bemariyan ek sath dekhai deti hain ya phr alag alag dekhai deti hain. Jaisy k agr udharan k tor py hm dekhain to 14 15 saal ki larkiyon ko bhi abhi ye sb dekhai deny laga hai k hypothyroidism, jis main thyroid ka jo secretion hai wok am hoty jata hai or phr wazan barhna, or periods irregular hona, balon ka girna or facial hairs barhna . ye sb dekhai deta hai. To in k sath sath kbi kbi hamein agr hum dekhain to insulin resistance bhi dekhai deta hai. Which is a pre-diabetic condition. In main kya hota hai k blood main, khoon main, insolin ki matra barh jati hai. Or us ki waja sy blood sugar ki matra jo hai wok am ho jati hai. Bar bar bhukh lgti hai. Is lye wo larkiya ya aurat jo bhi hai wo bar bar khana mangti hai. Khati rehti hai. Is ki waja sy wazan barht hai. Or itna khana khany k ba wajud, wazan hony k ba wajud bhi us ko bht thakan mehsus hoti hai. She cannot work in the evening also. To ye jo bat hai this is typically insulin resistance PCOD main dekhai deti hai. To wazan barhna, thakan mehsus hona, periods irregular hona, pasina bht ana ya phr nahi ana. Garden k nechy kali dararein parna, aisi sb chezain jo hain is ko bolty hn insulin resistance. To ye jo condion hai wo per-diabetic hoti hai. Agr is main hum sahe mainy sy treatment na dain yaw o agr hamary pas nahi aty hain to hm khud ka lifestyle modify kr k sudharty nahi hain. To ye jo hai wo pre-diabetes sy diabetes main badal jata hai. Jitna jaldi ho agr hum is main kam krn to hum is main reversible condition main a skty hain. To is main Ayurveda kya krta hai. To is main ayurved bht achy tareky sy kam krta hai. Is main hum panchakarma krty hain. Jis main k vaman verchan jaisy k jaisy detoxification process ho ya phr basti ho or diet or exercise k bary main bhi hum jankari dety hain. Or patient ko follow krny k lye bolty hain. Or ayurvedek ki bht sari jo dawaiyan hain. Jis ka hum is main istemal krty hain. To thyroid ho ya diabetes ho, pre diabetic condition ya phr periods irregular hn. PCOD ho jis main polisisting ovary diseases jaisy badain hon jis main period irregular ho k kbhi kbhi scanty menses jaisy k jism jis main khoon ek dam kam ya phir menorrhoea jis main khoon bht jata ho k 2 3 mahiny period nahi aty or us k bd 2 3 mahiny tk period ata hai or rukta e nai h. is main allopathy ki kitni bhi dawaiyan lain kam nahi krti hain. Is main hamara ayurved achy tareky sy kam karta hai. Or idher any k bad bhi aisa nai hai k hum 2 3 din dawai lein or hamein ek dam sy result mil jaye. Because it is scientific science. Science k mpor py hm jo kam krty hain to scientific jo rule hain us k mutabik hum dawaiyan istemal krty hain or kam sy kam aisy pateints maun ek saal tk treatment lena zaruri hota hai. Jis main punchkarma ho. Diet ho. Exercise ho. Or yoga behz bhi ho. Or is k sath sath kch dawaiyan bhi hon.
Or is k ilawa age apko kch zyada jan kari chahye to, for more information you can contact me through Lybrate.com. Thank you.