Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Lifestyle Disorders

Profile Image
Dr. Ruchi GulatiAyurvedic Doctor • 28 Years Exp.Bachelor of Ayurveda, Medicine and Surgery (BAMS), MD - Ayurveda
lybrate_youtube

Namskar, mera naam Dr Ruchi Gulati hai mein MD hoon Ayurveda mein aur Sukh Ayurveda ki owner hoon. Sukh Ayurveda ek Kerala style, Kerala Panch Karma Clinic hai cum Yoga Studio hai Noida mein. Sukh Ayurveda aim karta hai aap tak pahunchane ke liye abundance of health and stress free yeh hum dekhte hai ki aajkal ki bahut saare logo ko life style disorder ho rahe hai jaise kisi ko hypertension hai, kisi ko heart disease hai, kisi ko diabetes hai, kisi ko spine se related disorder ho rahe hai jaise cervical spondylosis hai, low back pain hai. Kya aap jante hai ki log isske liye kya kar rahe hai, wo pills khate hai, apni body ko chemical laden bana rahe hai, chemicals apne shareer mein bahut saare dal rahe hai instead of working on the root cause. Agar hum dekhe ki root cause kya hai, wo hai lifestyle hamara rehana sehana, khana pina usiki wajah se yeh bimariya ho rahi hai. Ayurved jo hai wo recommend karta hai ki aap apni lifestyle ko theek rakhiye. Iske liye prakriti ko janana bahut jaroori hai ki hamari prakriti kaisi hai. Ayurved kehta hai ki vata, pitta or kapha prakriti ke log hote hai aur agar hum apni prakriti ke anusar khana khate hai, rehan sehan rakhte hai, exercise karte hai toh hamari immunity up rehti hai, hume bimariyan bahut kam aa pati hai aur agar koi bimari aa bhi jaye toh hum yeh kehte hai ke aap apni shreer mein chemicals dalne ki jagah aap Ayurved ki taraf aaye. Ayurved mein detoxify karne ki bahut sari padtiyan hai unhe apnaye aur isske alawa aur dusara jo mukhya karan hota hai bimari ka wo hai aajkal stress toh stress relief karne ki bahut sari techniques hai hamare paas Ayurved mein, Yog mein jaise ki pranayama hai, dhyan hai, meditation hai, chirodhara hai which is a kind of Ayurvedic panchkarma massage, jisse stress bahut achche se relief ho jata hai. BP ka ek major reason hai stress or stress ke liye BP ke patients mein hum karte hai shirodhara jis mein shirodhara pot mein milk dalte hai along with the decoction aur shirodhara kiya jata hai isse stress bahut achche se relief ho jata hai BP down ho jata hai. Yeh procedure along with the medicines hum dete hai. Mein aapko aaj yeh bhi batana chahungi ki ayurved mein hum kya-kya bimariyan aur kis prakar se chikitsa karte hai. Ayurved mein bahut sari bimariyo ki chikitsa uplabd hai, ki jaati hai. Jaise ki digestive disorders hai , indigestion hai, gas hai, constipation hai,different liver ke disorders hai, jaise hepatitis B hai, different types ke hepatitis hai, cirrhosis hai, different neurological disorders hai jaise ki paralysis hai, skin disorders hai, jaise psoriasis hai iski complete list dekhne ke liye aap hamari web site www.sukhayurveda.com pe ja sakte hai. Iske alawa mai aaj aapko ye batana chahungi ki hum yahan chikitsa kis tarah karte hai, agar aap yahan aaye hai, yahan aap Lybrate ke platform se humse contact krte hai. Toh hum chikitsa kis prakar se karte hai, sabse pehle hum aapka history lete hai, apka prakrati pareekshan karte hai, agar kuch investigation ki zaroorat hoti hai, toh hum investigate aapse karate hai, uske baad hum aapke personalized treatment karte hai. Kyunki ayurved ye manta hai ki har insaan ki jo prakrati hai who alag hai.

Agar koi vata prakriti ka patient hai aur usme Cervical Spondylosis hai toh usme humien vata shamak kriyaon ko karne ki zarurat padegi. Kyunki jo Cervical Spondylosis hai who ek vata rog hai aur vata rog agar ek vata prakrati ke person mein hota hai toh usme humein treatment jayda karne ki zarurat rehti hai. Hum treatment ke liye Ayurvedic panchkarma techniques ko use karte hai yahan par hamare pass Vamana, Virechana, Vasthi, Nasya aur iske sath-sath jo purvkaram ki techniques hai different type ke massages hai sab uplabdh hai. Uske alawa hum Ayurvedic medicines, Ayurvedic diet aur lifestyle apko recommend karte hai, yoga bhi long term remission ke liye recommend karte hai, jaise Cervical Spondylosis hai toh unhi logo ko hota hai jahan lifestyle mein forward bending jayda hai jaise ki computer pe kaam karte hai ya aajkal jo mobiles hai wo lambe time tak dekhte hai smart phones toh Cervical Spondylosis hone ke chances hote hai wahan hum ek baar theek karne ke baad yoga sikhate hai jisme back bending exercise ko hum include karte hai. Iske alawa mein yeh batana chahungi ki Lybrate ek bahut achcha platform hai jispe aap ghar baithe hi hum se contact kar sakte hai ya phir aap hamare clinic mein aa sakte hai Sukh Ayurveda jo Noida mein sector-20 mein hai.