Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 25, 2024
BookMark
Report

Liver Cirrhosis - Know The Symptoms

Profile Image
Dr. Piyush RanjanGastroenterologist • 30 Years Exp.DM - Gastroenterology, MD - General Medicine, DNB (Medical), MBBS
lybrate_youtube

Namaskar,

Main Dr. Piyush Ranjan, Delhi mein gastroenterology consultant hoon.

Aaj main aapse liver se related ek mahatvpurn bimari ke bare mein kuch jankariyan share karunga. Liver cirrhosis liver mein hone wali ek atyant gambhir bimari ye cirrhosis ka arth hota hai ki liver kisi bhi karan se agar lambe samay se usmein nuksan pahunch raha ho, damage ho raha ho to usmein ek kism ka permanent damage ho jata hai. Liver cirrhosis se hone wali jo pareshaniyan hoti hain unmen jaundice yani aankho ka pilaa-pan, pet mein pani bharna jisko ascites kehte hain, behoshi ki halat hona jisko hepatic encephalopathy kehte hain aur ulti mein khoon aana hota hai jo food pipe ya stomach mein hone wali khoon ki nasen esophageal varices iske karan hota hai.

Liver cirrhosis ke pramukh karno mein sharab, hepatitis B, hepatitis C ke infection or motapa yani ki fatty liver ke durgami parinaam se hone wale jo liver ke andar damage hota hai ye hoti hai. Iske alava kayin anaya karan bhi hote hain hai jaise autoimmune hepatitis, Wilson's disease, alpha 1 antitrypsin deficiency to jabh bhi kisi ko liver cirrhosis hota hai. In sabh cheezon ke baare mein test karna avashyak hota hai. In tests ke sath-sath jo davaiyan hoti hai, inmein pet se pani agar hai to usko hatane ki dava, agar khane ki nali mein khoon ki nasen hain esophageal varices to uske liye endoscopy ke jariye unko control karna ya kuch davaiyan jisse wo bleeding ka risk future mein kam ho aur diet ek bohot hi important role play karta hai. Hepatitis B, hepatitis C ke liye kaafi karyger upaye hain, jinke treatment se kai bar liver mein kafi improvement aati hai, jo alcohol lete hain unke liye alcohol band karna ye ilaaj ke liye bohot hi jaruri kadam hota hai aur iske alava yadi autoimmune hepatitis hota hai liver cirrhosis ka karan to uske liye jo ilaaj hota hai wo davaiyan ke jariye hota hai.

Agar kisi bhi karan-varsh saare treatment ke bad aur sari acchi nutrition ke bad, acche parhej ke bad liver ki sthiti mein sudhar nahi ho raha ho to ismein liver cirrhosis mein kayi baar liver transplant ki jarurat padati hai, liver transplant ka matlab hota hai purane liver ko hatana aur ek naya liver lagana.

Liver transplant 2 tarhan se hota hai, ek ko kehte hain DDLT (deceased donor liver transplant) jismein kisi bhi brain-dead donor ki body se liver nikalkar ke yadi uske rishtedar consent dete hain to lagaya jata hai jyadatar transplant northern part of India mein LDLT hota hai yani ki aapke apne kisi rishtedar jinka blood group same ho jo ek acchi healthy condition mein ho, preferably 55 years se kam age ke hon, 20 se 55 sal ke bich ke unke liver ka ek part nikal kar ke jo pidit vyakti hai jo patient hain unke andar lgaya jata hai. Liver transplant preferably successful procedure hai aur iske karan jo ek Bimari jo kisi bhi tarah se nhi theek ho sakti hai uska jadh se ilaaj hota hai.

To yadi aapke koi rishtedar ya aap is bimari se pidit hon, iske bare mein aap adhik jankari chahte hain to aap mujhse sampark kar sakte hain.

Thank You

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously

TOP HEALTH TIPS

doctor

Book appointment with top doctors for Alcoholic Liver Disease treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details