Liver Cirrhosis
Namaskar!
Me Dr. Sandeep Jha, Gastro and Liver Transplant Surgeon. Nirvan Superspeciality Clinic ki traf se liver cirrhosis ke bare me kuch btaunga. Iske sath myths bhi me clear krunga. Ye kya hota hai? Hepatitis - B, C, alcohol consumption, obesity, diabetes liver cirrhosis ke causes hain. Agar ye disease 15 years se apki body me hain to ye liver ko damage kr dete hain. Liver failure shuru hota hai. Liver sikud jata hai and hard ho jata hai. Usme blood flow nhi hota or protein nhi bnta hai. Blood purification nhi hota hai. Germs bhi is se nhi jate hain. Ek question hai jo hmesha pucha jata hai ki liver kitna damage ho gya hai. Ye hmesha pure liver ko damage krta hai. Fatty liver ke lia patient puchte hain. Fatty liver bhut common hai but iske lia apko darne ki koi jrurat nhi hai.
Hmare diet me oil and masalon ka bhut use hota hai. Exercise hmare jeevan se khtm ho jati hai. Isi reason se liver pe charbi aati hai. Iske alwa Hepatitis - B, C, alcohol consumption, obesity, diabetes se bhi liver fatty hota hai. Apko immediately treatment lena chaiye. Fatty liver vaise koi problem nhi deta hai but ise 5-10 years me control nhi kia gya to ye cirrhosis me convert ho jata hai. Kya cirrhosis ko roka ja skta hai? Yes, lekin iske lia treatment beginning se bhut jruri hai. Aapko Hepatitis - B, C, alcohol consumption, obesity, diabetes, auto-immune disorder hai to in sab ka treatment bhut jruri hai. Alcohol ka addiction htane ke lia aap counseling le skte hain. Diet control, exercise and bariatric surgery se aap motape pe control kar skte hain. Prevention is better than cure. Apko regular health check-up jrur krana chaiye.
Iske kya symptoms hain? Jaundice, loss of appetite, loss of muscles, itching, peat ke upar khoon ki nason ka dikhna, peat me hernia formation, din me jyada neend aana., less urination, blood in stool, nose and mouth bleeding. Blood in vomiting, unconsciousness, breathlessness ye sare dangerous disease hain. Ho skta hai ki apko liver transplant krna pade. Iske alwa cirrhosis ke mariz ko risk rehta hai. Isko kaise pkda jaye and diagnose kia jaye? Iske lia test hain complete blood count, liver function test, kidney test, ultrasound, endoscopy, CT scan krna jruri hai. Cirrhosis ke mariz me cancer ka bhi bhut jyada risk hai. Jisko CT scan me pkda ja skta hai. Death prevention k lia apko liver transplant ki jrurat pdti hai. Cirrhosis se apki jaan ko khtra hota hai. Sharir ke 500 se jyada kaam liver krta hai. And ye baki organ bhi fail kar skta hai. Jaise kidney, lung, heart and brain. Agr jyada problem ho gyi hai to 1-5 saal hi apki umar bachi hai. Agar aap me aise koi bhi symptoms hain to saal me 60% se hi mariz zinda reh payenge. Agar ye disease advance stage pe hain to 1 saal me 20-30% mariz hi zinda reh payenge. Agar apko stage 3 cirrhosis hai to apko liver transplant ki jrurat hai. Agar apko liver cancer hai to bhi apko liver transplant ki jrurat hai. Agar iske alwa bhi apko cirrhosis ke koi sawal hain to aap mujhe Lybrate ke through contact kar skte hain.
Thank You.