Liver-Related Problems - What Should Be Eaten And What Not?
Hi,
I am Dr. Praveen Sharma, Gastroenterologist. Aaj hum baat karenge ki liver ki taklif mein kya khana chahiyai aur kya nahi. Liver ki kafi bimariyan hoti hain jismein piliya kafi common hota hai. Piliya ke bahut sare karan hote hain jinmein liver cirrhosis and hepatitis common hota hai. Pehle hum baat karenge ki kisi ko piliya ko toh use kya kya khana chahiyai aur kya nahi khana chahiyai. Common braham hai ki jisko piliya ho jaaye use ganne, muli ka juice peena chahiyai, pili chiz, talli hui chiz nahi khani chahiyai, toh main aap ko btana chahta hun ki ye sab ek branti hai aur humein ispe jyada dhayan nahi dena chahiyai. Yadi kisi vayakati ko acute hepatitis ho jiske common karan hai hepatitis-A, B, C & E, inmein se hepatitis-A & E gande khane ki vajaha se hi hota hai. Toh aap ko apne khane peene ka vishesh dhayan rakhana hai.
Aisa koi bhi khana nahi hota jo humare liver ko kharab kare. Agar kisi ko pilia hai vo bhi acute hepatitis ki vajaha se toh use ghar ka normal khana chahiyai. Kisi taraha ki koi khaas parhej ki Jarurat nahi hai. Kafi log ganne ka juice peete hain toh aisa na karein kyuki vo bahar ka hota hai and vo aap ke liya harmful hai. Humein sawasth khana khana chahiyai. Humein fruits khane chahiyai and bahara ka juic nahi peena chahiyai. Roti, sabzi, daal, makhana aap sab ghar ka bana kha sakte hain. Kuch logon ko lagta hai ki unhein liver cirrhosis hota hai. Kafi log aisi bimari mein proteins nahi lete hain. Toh mai aap ko btana chahunga ki agar liver cirrhosis bhi hai toh normal khanna khana chahiyai. Aap ko salt kam karna hai apni diet mein se taki peat mein paani jyada nahi bane. Ab question ye hai ki liver cirrhosis mein kya kya khayein? Toh normal patient jo pehle khata tha sab vaise hi khana hai but ghar ka healthy khanna khana hai.
Protein ki matra jyada rakhne se humara liver sawasth rehta hai. Ab hum jaaneinge ki protein kis kis mein jyada hota hai. Yadi patient non-vegetarian hai toh eggs kha sakte hain. Daal kha sakte hain. Fruits khayein, vegetables kha sakte hain, in sab ko khane se liver healthy rehta hai. Kafi logon ko myth hai ki jinko liver ki bimari hai unhein paani kam peena chahiyai. Lekin agar peat mein bahut jyada paani na bhara ho and pairon mein sujan na ho toh Dr kisi bhi patient ko paani ka parhez nahi btate. Agar bahut jyada motapa nahi hai toh bhi jyada ghee vali chizen nahi khani chahiyai. Lekin aap ghee, safed makhan kha sakte hain. Kuch log malayein pehente hain, jadi butiyan khate hain toh mai aap ko kehna chahta hun ki aisa koi bhi kaam naa kare. Agar aap aisa karte hain toh liver pe bahut jyada nuksan hota hai. Liver ki bimari mein jo hum kha sakte hain vo khana chahiyai. Bus aap ko namak ka parhez kana chahiyai. Baaki kisi bhi tarah ka koi parhez nahi hai.
Thank You.