Low Back Pain
Hi,
I am Dr. Amod Manocha, Pain Management Specialist. Yahan se pehle mai London mein as a pain consultant kaam karta tha. Meri pain se related education London se hi hui hai. Aaj main aap ko low back pain yanike ridh ki haddi me niche ki taraf jo pain hota hai, uske bare mein btaunga. Main aap ko iske bare mein isliya batana chahta hun taki aap apni problem ko samajh saken. Aur ye bhi decide kar saken ki aap ke liya konsi treatment achi rahegi. Is pain ke hone ke bohot sare karan hote hain. Inmein se ek karan hai ridh ki hadiyon ke jod mein se uthne vala dard. Aaj hum isi dard ke bare mein baat karenge. Is se pehle jaruri hai ki hum ridh ki haddi ke bare mein thoda sa jaan lein. Ridh ki haddi mein niche tail bone hoti hai and spine upar ki taraf hota hai. Ridh ki haddi 33 bones ko mila kar banti hai. Ye bones ek ke upar ek hoti hai. Inko vertebre bhi kaha jata hai. In hadiyon ke bich mein jelly type ka material hota hai jise disc kehte hain. Harr 2 hadiyon ke bich mein ek disc hoti hai. And piche ki taraf ek haddi se dusri haddi judti hai jahan pe jod hote hain. Inko facet joint kaha jata hai.
In joints mein umar ke sath badlav ata hai. Aur bohot baar ye dard dene lagte hain. Inse uthne vala dard bharipan ki tarah mehsus hota hai and deep ache bhi patient feel kar sakta hai. Ye pain generally back mein hi rehta hai. Kuch patients mein ye dard thigh se hota hua knees mein bhi jata hai. Dard ke sath sath sharir mein stiffness ya akdan mehsus hoti hai jo ki subha ke samay jyada preshan karti hai. Iske alawa sardiyon mein ye dard aap ko jyada preshan kar sakta hai. Aur kuch patients ko lagta hai ki unhe sidha hone ya challne mein thoda samay lagta hai. Yahi condition spine ke upar ke hisse me bhi ho sakti hai jiski vajah se gardan me dard aata hai aur kabhi kabhi shoulder joint tak bhi jaa sakta hai.
Abhi ke liya hum spine ke niche ke hisse ke baare me baat krenge. Is dard ko treat karne ke liya bohot sare tarike hain. Jayatar logon ko physiotherapy ya maspeshiyon ya fir core muscles ko strong karne se darad mein rahat milti hai. But is kam ko karne me samay lag jata hai. Jab maspeshiyan strong hoti hain to jodon mein dabav kam padta hai jiski vajah se humara dard kam ho jata hai. Uske alawa aap dawaiyan bhi istemal kar sakte hain dard ko kam karne ke liya. Pain management mein hum bohot baar injections use karte hain. Hum x-ray mein in jodon ko dekhte hain aur inke bohot pass dawayi dalte hain. Vo dawayi aap ke dard ko lambe samay ke liya kam kar sakti hai. Is se aap ko opportunity milti hai ki aap apne muscles ko strong kar payein. Iske alawa ek aur tarika hai is dard se nijaat paane ka. Use hum radiofrequency ablation ya fir radiofrequency treatment kehte hain. In jodon se jo dard uthta hai vo dimag tak phuchta hai.
Aur tab hume pata chalta hai ki hume dard ho raha hai. Isliya hum nerves pe focus karte hain taki aap ko pain na ho. Radiofrequency me hum ek special needle and machine use karte hain. Nerves ko hum heat karte hain. Jinki vajaha se inki kam karne ki shamta kam ho jati hai. Is se dimag ko phuchne vala dard bhi kam ho jata hai. Ye effective treatment hai jo aap ka dard 1-2 years ke liya kam kar deta hai. Aap ko moka milta hai ki aap apna lifestyle change kar saken. Ye ek daycare treatment hai. Ye local ansthesia me kiya jata hai. Is se aap ki dawaiyan kam ho sakti hain. Aap ki movement better ho jati hai. Chalna firna, subha uthna, in sab mein badlav aa sakta hai. Aur Aap lambe samay tak is dard se rahat paa sakte hain. Mujhe umeed hai ki ye jankari aapke liya beneficial sabit hogi.
Dhanyawad.