Male Breast
Hi,
Me Dr. Nishant Chhajer, Gunjan Clinic. Hum yhan cosmetic and plastic surgery ki facilities dete hain. Aaj hum discuss krenege gynecomastia ke bare me. Isko male breast bhi kehte hain. Ye bhut hi common problem hai. Or har 100 me se kuch bachon ya ldkon ko ye problem hoti hai. Isko breast swelling bhi kehte hain or male breast bhi kehte hain. Jyadatar ye testosterone or estrogen hormone ki kamiyon ki vjha se payi jati hai. Iske alwa koi or bimariyan bhi ho skti hain.
Ya fir old age me bhi ye problem aa skt hai. Ye koi bimari nhi hai but cosmetologically and samaj ke lia ye ek problem hi hai. Especiallly outdoor activities ke lia like swimming, gym ya tight t-shirt pehnna and is problem ki vjha se aap tight t-shirts nhi pehen skte hain. So, commonly the treatment about this problem is a surgery. Surgery ke baad na ke brabar apko nishan aate hain. Or vo aisi jgha pe hote hain ki dikhayi nhi dete hain. Isko bina kisi nishan ke bhi liposuction or bachi hui gland ko incision ke through bhi nikala ja skta hai. Ye apne aap bhi kuch log me khtm ho skta hai. Iske lia treatment and medicines ki jrurat bhi pad skti hai. Doctor pehle pure test krne ke baad hi apka surgery krte hain.
Ye daycare ya ek din me hi surgery ho skti hai. Local ya general anaesthesia me ye surgery ki jati hai or iske results bhut ache hain. Surgery bilkul safe hai. Isme chota size bna ke or pen ke size ke canola ke through fat nikal dia jata hai. Fat nikalne ke baad me jo bachi hui glands hoti hain inko bhi nikal dia jata hai. Khoon ki puri janch krne ke baad bhi ise band kr dia jata hai. Surgery ke 6 mahine ke baad bhi apko compression garment pehnna hota hai. Iske baad koi nishan bhi nhi pdta hai. Surgery ke baad apko kisi trha ki koi kamjori nhi aati hai. Aap sabhi parkar ki outdoor and indoor activity kar skte hain.
Dhanyawad.