Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Aug 17, 2023
BookMark
Report

Male Sexual Problems

Profile Image
Dr. Vivek RathoreAyurvedic Doctor • 21 Years Exp.Bachelor of Ayurveda, Medicine and Surgery (BAMS)
lybrate_youtube

Namaskar! Mai Dr. Vivek Rathore ek ayurvedic physician hun or Ghaziabad mei practice krta hun.

Aaj hum baat krenge male sexual problems ke baare mein. Matlab purshon ki yaun samasyaein. Aaj kal ke jeevan mein ye pareshaniyan badhti ja rahi hain. Kaafi samay se mai practice kar raha hun or dekh raha hun ki is tarike ke patients badhte ja rahen hain. Uska mukhye kaaran jo hai, aaj kal hamari sedentary life , hamara galat khaan paan, hamara rehen sehan. Aur aaj kal ke jeevan mei stress or anxiety itni zyaada badh gyi hai ki ab is se sambhandit bimariyaan zyaada hone lagi hai. Ye vo bimari hai jo sirf ek purush ko hi nahi, balki uske partner ko bhi pareshan karti hai.Jo married life hai, vo itni zyaada disturb ho jati hai ki agar purshon mein ye kami aa jati hai, to uske partner mein in sari chizon ka aabhaav hone lagta hai or uske saath bahut saari chizen andekhi ho jati hain. To mai iss video ke madhyam se kuch chizen bataunga.

Aur ek cheez maine notice ki hai ki sexual problems jo male ko hoti hai, uska mukhye kaaran is vishye mein agyanta bhi hai. Ye jo ek part hai sex health , isko janna pratyek vyakati ke liye zaruri hai. To main is video ke madhyam se kuch jagrukta paida karna chah raha hun. Jis se log in chizon ko samjhe or usi direction mein jayen. Dekhiye agar purshon mein aisi koi problem aati hai, to vo apna ilaaj karane se bachta hai, doctor ke pass jata nahi hai, sharmata hai ya fir apni bimariyon ko andekha karta hai. Aisa karne se uski pareshani badh jaati hai. Uska confidence kam ho jata hai. Uska manobal dheere dheere girne lagta hai. Jab ye saari conditions aa jati hain , to vo apne partner ke saath achey sambhandh nahi bana paata hai , or is se uska partner satisfy nhi ho paata hai . Iske kaaran un dono ke beech mein tanaav ho jata hai. Aur tanav ke kaaran ghar mei kalesh hota hai, ashanti hoti hai.

Aur mei aaj kuch aisi hi pareshaniyon ke bare mein discuss karunga jinhe hum kehte hain male sexual problems. Pehli cheez jo main aapko batane ja raha hun , vo hai nightfall matlab swapandosh. Ye bimari generally 14-18 saal ke ladkon mein hoti hai. Or is tarike patients bahut badhte ja rahen hain. Is bimari se bachne k liye in bachon ko raat mein sonay se pehle muh, haath or pair dho ke sona chahiye or ache vicharon ke saath unhe sona chaiye.

Dusri dikkat hai spermatorrhea. Isme peshab me jhaag aana ya fir ise hum viryepaat bhi kehte hain. Ye samasya 18-25 saal ke ladkon ko zyaada hoti hai. Iska mukhye kaaran infections bhi hota hai or galat khan paan, rehen sehan bhi hota hai. Zyaada garam khane se jaise non-veg, dry fruits, ye tez masale khane se ye bimari jyada ho jati hai. Ya pait ka theek se saaf nahi hona bhi iska mukhye kaaran hai. Agar aapko is bimari se bachna hai, to in chizon ko avoid karna hoga.

Teesri ek bimari hai erectile dysfunction. ED ka matlab ye hota hai ki ling me uttejana ki kami hona ya fir ling ka uthan nhi karna. Iske kaaran patient ki sex life disturb hoti hai. Aur agar vo ye saari chizen avoid karta hai to uska confidence kam ho jata hai. ED ka mukhye kaaran 2 hain - psychological or physiological. Patient ko apna confidence badhana chaiye. Physiological agar problem hai , to ayurvedic treatment le ke ilaaj karana chaiye.

4th bimari hai premature ejaculation. Jiska matlab hota hai shighar patan. Iska mukhye kaaran khan paan, rehen sehan, stress aur anxiety hai. Is se logon ko darne ki koi zarurat nahi hai. Ye koi aisi bimari nahi hai jis se bhaaga jaye. Is se aapke sex life mein anand kam ho jaata hai. Agar aap is bimari se bachna chahte hain, to nisankoch treatment karaiye. Aap 100% thik ho jayenge.

Ek pareshani ke baare mei aapko or batana chahta hun. Male infertility. Matlab pita banne ka abhav hona. Iska mukhye roop se kaaran hota hai sperm counts mein kami aa jana. Ye vo bimari hai jo bilkul theek ho jayegi. Iske liye ek test karaya jaata hai semen analysis. Is se ye pata chalta hai ki sperm ke count mei kya problem hai , ya fir morphology mein koi defect to nahi hai. Ye bimari bhi aisi hai jo 100% theek ho jaati hai.

Iss video ke madhyam se main aap sabko ye batana chahta hun,  jo male sexual problems hai inse aapko ghabrane ki zarurat nahi hai quki yahi vo kaaran hai jiske kaaran ghar me kalesh hota hai. Sthiti yahan tak ho jati hai divorce tak ki stihti ban jaati hai. To main aapse yehi kehna chahta hun ki is bimari ka nisankoch ilaaj karaiye. Ye bimari aisi hain ki chupane se theek nahi hogi. Iska ilaj zaruri hai, or iske theek hone se aapke jeevan mein khushiyan aa jayengi. Dhanyewaad.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Male Sexual Problems treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details