Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Masturbation - Things To Know About It

Profile Image
Dr. Yogesh TandonSexologist • 15 Years Exp.BAMS, MD Rasashastra
lybrate_youtube

Hi,

I am Dr. Yogesh Tandon, Sexologist. Today I will talk about masturbation. Masturbation se koi na koi kisi age mein pidit rehta hai. Ye yuva awastha mein jyada dekhi jati hai. Aaj hum masturbation ke benefits, side-effects, addiction and kaise overcome karein, uske baare mein baat karenge. Masturbation ek normal process and urge hai. Male 90-92% masturbate karte hain kisi na kisi age mein. Females 80-85% masturbate karti hain. Ab hum baat karenge iske benefits ke baare mein. New sperm old sperm ko replace karte hain and fertility and motility ko increase karte hain. Masturbation karne se humara stress ek haad tak durr hota hai kyuki is se feel good hormones release hote hain. Good hormones se humara mood acha hota hai. Masturbation karne se aap sexually transmitted diseases se bhi bache rahenge and unwanted pregnancy bhi nahi hoti.

Excess masturbation karne se iske kayi side-effects hain. Agar aap masturbate week mein 3-4 times kar rahein hain toh koi side-effect nahi hai. Agar aap ki diet achi hai toh aap daily bhi masturbate kar sakte hain. Is se aap ko koi erectile dysfunction and premature ejaculation ki problem nahi ayegi. Apni diet protein rich rakhein. Indian diet mein protein ke sources egg, milk, paneer and non-veg mein chicken bhi aap use kar sakte hain. Ab hum baat karenge masturbation ke side-effects ke baare mein. Excess of masturbation leads to hair loss. Agar aap din mein 3-4 baar karenge toh memory loss, lethargic, irritation feel hoga. Ab hum baat karenge masturbation ke addiction ke baare mein.

Ye problem kishore awastha mein dekhi jaati hai. Iske reasons hain high testosterone levels during puberty. 2nd reason hai sexual content jyada dekhna. Jis se humara maan baar baar masturbate karne ko karta hai. Agar aap masturbate addict hain toh lifestyle change karein. Daily meditation karein. Ye aap ko self-control mein help karega. Porn movies se dur rahein. Daily exercise karein jis se aap ki energy channelize hogi aur jayada masturbate karne ka maan nahi karega. Apne aap ko busy rakhein. Masturbation ke kafi myths hai jaise erectile dysfunction hona, premature ejaculation, sexual weakness ya penis ka size chota hona joki galat dharna hai. Inke reasons kafi alag hote hain aur iski treatment bhi alag rehti hai. Aap agar masturbate karna chahte hain toh karein but ek healthy diet and acha lifestyle maintain rakhein. Daily exercise and yoga karein. Agar aap ko koi bhi problem ho, you can contact me through Lybrate or you can visit my clinic. Stay healthy and stay fit!

Thank You.

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Male Sexual Problems treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details