Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Feb 20, 2023
BookMark
Report

Melasma And Pigmentation

Profile Image
Dr. Sandesh GuptaDermatologist • 29 Years Exp.MBBS, Diploma in Venerology & Dermatology (DVD)
lybrate_youtube

Hi Friends!

I am Dr. Sandesh Gupta, skin specialist. Doston, me apko melasma and pigmentation ke bare me btaunga jo ek bhut hi common condition hai. Iske symptoms hain ki brown or black color ke patches face pe dekhe jate hain. Iske cases hain hormonal imbalance, PCOD, thyroid, insulin resistance. Calcium ki kam ya fir iron ki kami se bhi ye problem ho jati hai. Kuch medicines khane se bhi melasma aa jata hai. Isko ye badha bhi skti hain. Kuch steroids vali medicines ya overuse of make up, sun exposure se bhi hoti hain. Kuch aise karan hain jinse ye melasma badhta hai. Melasma in sab karanon ke bina bhi aa skta hai. Melasma ke treatment ke lia bhut sari creams market me available hoti hain jisko lgane ke chakkar me vo apni is condition ko khrab kar lete hain. Melasma ke lia hume kuch conventional treatment krne chaiye medicines or laser therapy ke through. 2 tarike ke treatment isme kam aate hain.

Jo conventional treatment hai usme hum khane or lgane ki medicines dete hain. Hormones ki problem ke lia bhi hum medicines dete hain. Hume kisi bhi type ki steroid based cream apne face pe nhi use krni chaiye. Jab bhi aap us cream ko lgayenge, apka face thik rhega lekin aap jaise hi us cream ko band krenge, melasma apko fir se skin p aa jayega. Islia apko koi bhi aisi cream melasma ke lia nhi use krni chaiye. Apko hmesha doctor se consult kr k hi cream use krni chaiye. Melasma ke lia ab laser treatment ke lia hum bat krenge. Iske lia available laser hai: Q-switched Nd:YAG Laser. Lekin isme apko high quality ke laser use krne hote hain. Kewal yhi laser hi melasma ke lia FDA approved hai.

Ye pigment ko break krta hai. Iske 6-8 sessions hote hain or 3-4 weeks ke gap me ye sessions diye jate hain. Iske through hmara melasma bhut kam ho jata hai. Iske alwa aap apne dietary habits ko thi kren. Sone ka routine thik kren. Stress kam len. Steroids ka usage band kren. Sun se bachen. In sab se aap melasma ko bacha skte hain. Iske alwa apko agar koi or information chaiye to aap Lybrate ke through mujhse contact kar skte hain ya aap mere clinic, Krishna Nagar me visit kar skte hain.

Thank You.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Pigmented Skin treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details