Migraine
Namaskar,
I am Dr. Ruchi Singh, aaj hum baat karenge migraine ke upar. Migraine jo hai jise jyada tar log sir main dard ke naam se jante hain, kisi ko aadhe sar mein dard hota hai, kisi ko poore sir mein dard hota hai. Migraine joki ek sir dard na hoke pet ke related bahut jyada hota hai. To jyada tar kya hota hai jab bhi migraine ka headache uthte hain to usme kya hoga jyada tar patient painkillers lete hain. Frequent painkillers lete hain Kyunki is main frequent headaches hote hain 10 din, 7 din,12 din ke baad, par Jab hum frequent pain killers lene lagte hain to kuch time ke liye to headache ko theek kar deta hai par puri tarah se theek nahin karta hai. Jiski wajah se aapko pet mein dikkatein start ho jati hai jo ki painkiller ke side effect hai. Wahan par apko inflammation start ho sakta hai. Pet dard, ulcer waghera ye sab ban sakte hain. To ayurved jo hai wo migraine ko ek alag tarike se treat karta hai.
Ek alag tarike se uski pathology manta hai. Ayurved mein jo mainly migraine ka origin mante hain wo pet se mante hain. Agar aapka digestive system pure tarike se theek nahin hai. Aapko acidity, gas ya indigestion ya fir aapki lifestyle aisi hai jisme aap bahut sari cheezein properly nahin karte, properly so nahi rahe, bahut jyada laptops ya mobile ka use kar rahe hain. To usme kya hota hai ki hamare yahan waat aur pitt dosh hote hain.ye dono badh jaate hain jiske disorders ki wajah se migraine create hota hai. Ayurved mein jo migraine ka ilaaj bahut achha hai. Haan ye jarur hai ki woh thoda lamba chalta hai, 6 se 8 mahine tak ka ho sakta hai. Par jo migraine hai wo poori tarah theek hota hai.
Migraine ke main symptoms hote hain ki jab headache hona start hota hai usse pahle aura ho sakta hai jisme aapko sunlight dikhai de sakti hain, Kabhi bell sunai deti hai, nausea ho sakta, vomiting ho sakta hai, sir mein bahut jyada dard ho sakta hai and palpitations ho sakte hai. Ye saari cheezein migraine mein start hoti hain aur uske baad headache start hota hai. To jo hum ayurved mein treatment lete hain usme medicines hoti hai. Saath mein medicine ke sath shirodhara, shirovasthi aur nasyakarm bhi hota hai. Ye saari cheezein milke migraine ko poori tarike se theek kar sakti hai. Best option ye hai ki migraine mein aap sirf painkillers na lein ki jab bhi headache hua pain killer le liya wo aap ko poore tarike se sahi nahin karega. Agar puri tarike se migraine ka treatment chahiye to usko aap ayurved mein dikhaiye to poore se usko sahi ker sakte hain.
Thank you!