Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Myths Related To Heart Attack

Profile Image
Dr. Abhishek SinghCardiologist • 24 Years Exp.MBBS Bachelor of Medicine and Bachelor of Surgery, MD - Medicine, DNB - Cardiology
lybrate_youtube

Namaskar!

Me Dr. Abhishek Singh. consultant interventional cardiologist, Columbia Asia Hospital, Ghaziabad. Aaj me heart attack ke kuch misconsception ke bare me baat krunga. Jayadatar log heart ki bimariyon ke bare me jante hain but kuch myths ki vjha se apna nuksan kra lete hain. 1st myth: Agar kisiko heart attack hai to use chest pain jrur hoga. Agar chest pain nhi hai to iska mtlb heart attack nhi hai. In fact, 50% heart attack ke patients me chest pain hota hi nhi hai. Ye mariz kbhi shoulder, kbhi haathon, neck or jaw ke pain ke sath aa skte hain. Kbhi vo ye bhi bol skte hain ki peat me upar ki traf ko dard ho rha tha. Kuch aise patients bhi hota hain jinme koi pain hota hi nhi hai.

Unme sirf gabhrahat, tez pasina ya saans fulne ki vjha se aspataal laya jata hai. Islia inhe light na len or immediately doctor ko consult kren. Kuch patients acidity smjh ke hi ghar pe treat krna shuru kar dete hain. Agar heart attackk ka aisa koi bhi symptom hai to aisi koi bhi galati na kren. 2nd myth: Agar ECG normal hai to heart attack nhi hua hai. Ye pain kisi or karan se hai. Fact ye hai ki heart attack ke 30% patients me ECG bilkul normal aata hai or usme koi gadbadi nhi dikhayi deti hai. 3rd myth hai angiography ke bare me. Log ise ek bada operation mante hain. Unhe ye risky or bhut bda operation mante hain. Jabki aisa nhi hai. Angiography kisi bhi trha ka blade nhi use hota.

Ise apke hath ya pairon ki nason se kia jata hai jise hum sun krne ke lia ek injection dete hain or ek equipment ke through ye treatment pura kia jata hai. Coronary artery me sabse common teat hai. Islia is se ghabrane ki jrurat nhi hai. Iske lia mariz ko kewal half day ke lia hospital me admit hona pdta hai. Agar test normal hai to patient adhe din ke lia ghar ja skta hai. Is se ye bhi pta chalta hai ki heart me kisi blockage ka problem to nhi hai or agar vo hai to iske lia best line of treatment kya ho skta hai. Kya vo patient medicines pe thik rhega ya fir angioplasty ki jrurat pdegi ya fir bypass ki jrurat hai. Ye sab angiography ki report pe hi decide kia ja skta hai. Ye bhut hi safe test hai. Isme complications ka rate 1% se bhi kam hai.

Ek or myth hai ki isme stents bhut jldi khrab ho jate hain. Lekin sach hai ki 3rd generation ke stent bhut advance hain. Marizon ko shi time pe dawayi leni chaiye. Apne khane peene ka dhyan rkhen or smoking band kren. Apni diabetes pe control rkhen or stent life long chalte rehte hain. Is chiz ko apne dimag se nikalen. Agar aap heart se related koi bhi treatment lena chahte hain to aap mujhe mere clinic Shaswat Life Care, Ghaziabada ya fir Columbia Asia Hospital me sampark kar skte hai or Lybrate ke through bhi contact kar skte hain.

Thanks!

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Heart Attack treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details