Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Myths Related To Thyroid Disease

Profile Image
Dr. Nishi Nath JhaGeneral Physician • 39 Years Exp.MBBS, MD - Medicine
lybrate_youtube

Namaskar Doston!

Me Dr. N.N. Jha, senior consultant. Today I will clear your myths about thyroid disease. Thyroid ek gland hai jo butterfly ki shape me hmari gardan ke samne hota hai. Is se nikle hormones hmare metabolic activity me involve hoti hai. Iski kami and jyada hone se iske nuksan hain. Thyroid disease 2 types ka hota hai. Hyperthyroidism. Isme hormones jyada bante hain. Iske symptoms hain fatigue, palpitation, rapid heart rate. Severe case me ankhe thodi bahar ko aa jati hain. Lekin hyperthyroidism jyada common hai. Isme thyroid hormone kam banta hai. Isko diagnose krna itna asan nhi hai. Iske symptoms hain dizziness, joint pain, weight gain, anxiety, depression.

1st myth: ye disease kewal women ko effect krti hai. Ye male me kam hota hai. 1:5 ka rate hai isme men and women ka. 2nd myth: It affects after 50 years of age to a woman. But aisa nhi hai. Ye kisi bhi age me ho skti hai. Iodine ki kami se thyroid ki bimari hoti hai. Namak me iodine hone se thyroid ke chances kam ho jate hain. 3rd myth: Iodine jyada khane se thyroid hi hota hai. Aisa nhi hai. 4th myth: Lump and swelling is the sign of thyroid. Aisa nhi hai.

5th myth: Weight gain thyroid ka risk hai. Aisa nhi hai. Thyroid se weight gain hota hai but jyada nhi. 6th myth: Easy hai thyroid ka pta lgana. Lekin aisa nhi hai. Islia problem hone pe doctor ke pass jayen and check-up krayen. Iska treatment late krna acha nhi hai. Islia patient ko timely doctor se contact kar k medicines start krni chaye. Quki patient ko uska result dikhne me thoda time lgta hai. 7th myth: Logon ko lgta hai ki iska treatment sirf endocrinologist hi de skta hai. But aisa nhi hai. Iska treatment general practitioner ke pass bhi jake aap le skte hain. Soy khane se thyroid ka absorption thoda delay ho jata hai. Moring me jab aap medicines le rhe hain to aap soy protein raat ko le skte hain.

8th myth: Pregnancy me thyroid ki medicines nhi leni chaiye quki ye bachon ko nuksan krta hai. Aisa nhi hai quki bachon ko bhi thyroid hormone uski maa se milta hai. Thyroid ki medicines lene se bache ka treatment bhi ache se hota hai.

Otherwise bache ka vikas ruk jata hai. Mata ko bhi thyroid ki medicines leni chaiye taki uska savasthya acha rhe. Doctor se suggestion lene ke baad correct medicines len. Thyroid bimari khatarnak nhi hai but ye treatable condition hai. Iska treatment bhut acha hai.

Dhanywad!

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously

TOP HEALTH TIPS

doctor

Book appointment with top doctors for Depression treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details