Newborn Care
Hello,
I am Dr. Subandhu. Gupta, Pediatrician. Aaj me apko newborn care ke bare me btaunga. First ques hai ki bache ko kab se bath dena hai and oil massage dena hai. At least 15 days tak bache ko bath and oil massage nhi dena chaiye. Quki bache ko infection and hypothermia ke chances rehte hain. Ab kis type ka oil use krna chaiye? Coconut oil, jaitun or olive oil safe hota hai. Bache ko massage temperature ke according dena chaiye and bathing se pehle dena chaiye halke hathon se. Bache ko red and blue spots hote hain body me jo 2-3 weeks me khtm ho jate hain. As per WHO, bache ko breast feed sabse pehle milna chaiye.
Bache ka rona hmehsa hunger ka sign nhi ho skta hai. Newborn should be given mother's milk for at least 6 months. Bache ko honey, pani nhi dena chaiye. Animal milk 1 year tak avoid krna chaiye. Bachon ko animal milk digest krne me problem hoti hai. Bache ka vaccination hona jruri hai and uske lia Dr se consult krte rhen. Bache ko kayi bar cold, cough ho jata hai. Ye tabhi hota hai jab koi infected bacha uske pas aata hai. Sneezing newborn me common hai. Bacha agar milk nhi le rha hai ya or koi problem aa rhi hai to Dr se consult jrur kren.
Thank You!