Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Feb 21, 2023
BookMark
Report

Nosebleed

Profile Image
Dr. Rajeev AryaENT Specialist • 44 Years Exp.MBBS, Master of Surgery ENT
lybrate_youtube

Hi

Mera name Dr. Rajeev Arya hai. Mera clinic Balabhgarh me hai and nursing home Faridabad me hai. Me pichle 30 saal se practice kar rha hun. Kaan, naak and galle ki har bimari ka ilaj kia jata hai. Cancer ka bhi ilaj kia jata hai. Koi bhi kaan, naak, galle ka cancer hota hai, usko diagnose kia jata hai and fir uska treatment bhi kia jata hai. Naak me se khoon aane ko naksir kehte hain. Naksir aane ke kayi karan hote hain. Bachon or badon me karan alag alag hote hain.

Bachon ki naak ki nasen and naliyan kamjor hoti hain islia naak se khoon ata hai. Badon me blod pressure ki vjha se naak ki nas fat jati hai or is se khoon ata hai. Badon me main karan hai blood pressure or dhamniyon me fat deposit hona. Isko thik krne ke kayi treatments available hain. Kayi baar nas ko jalana bhi pdta hai or packing krni pdti hai. Kayi bar liver disease ki vjha se bhi ye problem ho jati hai. Kayi bar khoon me kuch kami hone ki vjha se bhi aisi problem ho jati hai. Lekin isko thik kia ja skta hai.

 

Thanks!

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Nose Bleed treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details