Obstructive Sleep Apnea
Namaskar Doston!
Me Dr. Nikhil Modi, sleep medicines ka specialist, Indraprastha Apollo Hospitals, Sarita Vihar, Delhi se. Aaj me apse saans and neend se related problems ke bare me apse discuss krna chaunga. Ise obstructive sleep apnea kehte hain. Is bimari ke bare me abhi log jyada aware nhi hain. Is bimari ka treatment bhi possible hai. Obstructive sleep apnea ka mtlb hai sote waqt saans ka rukna. Logon ko lgta hai ki khrate gihri neend ki nishani hai. But ye saans rukne ka pehle symptom hai. Ye age ke badhne ke sath bimafri hoti hai. Overweight, diabetes, and thyroid ke patient me ye bimari jyada dekhi jati hai. Metabolic syndrome me obese hone ke sath sath galle me bhi charbi deposit hoti hai.
Saans ki naliyan weak ho jati hain. Jaise hi hum raat ko gehri neend me jate hain, hmare aage ki muscles piche ko gir jati hai jis se saans ka rasta band ho jata hai. Aadha band hone se khratte aate hain. Pura band hone se saans ruk jati hai jis se hum bich me hi uth jate hain. Morning me uthte hi hume lgta hai ki hum thake hue hain. Hum active nhi reh pate. Dekha gya hai ki vo driving krte hue bhi soo jate hain jisse accident ke chances badh jate hain. Ye bimari hmara lifestyle effect krti hai. Hmara weight badhta hai and saans fulta hai. Agar apko ye sab symptoms hain to iske specialist se contact kren quki is bimari ko control kia ja skta hai. Agar is control nhi kia gya to iske bhut harm hain.
Qui saans rukne se heart and brain pe effect ata hai. Isse blood pressure and sugar ka control khrab hota hai. Sudden cardiac arrest ke bhi chances badh jate hain. Heart attack se apki death hone ke bhi chances hote hain. Agar brain pe effect aata hai to brain stroke or paralysis ke chances increase ho jate hain. Iska treatment bhi possible hai. Weight reduce and lifestyle changes bhut important hain. Agar bimari jyada severe hai to nose pe lgane ke lia ek machine aati hai jo aap sote time use kar skte hain. Or apke risk factors reduce ho jate hain. Surgical procedures bhi available hai jisse is problem ko thik kia ja skta hai. Agar apko ye symptoms hain to aap apni bimari ki severity janne ke lia specialist se milen. Treatment le ke aap apni life ko acha kar skte hain or bimari se bach skte hain.
Thank You!