Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Apr 08, 2021
BookMark
Report

Oily Hair

Profile Image
Dr. Manish SatsangiHomeopathy Doctor • 32 Years Exp.BHMS, BSc
lybrate_youtube

Friends!

Dr. Manish, Dr.Satsangi Clinic se. I am gonna talk to you about oily hair. Patient aaj kal in chizon se nikal rha hai. Vo kehte hain ki mere sir pe bhut jyada oil hai. Mere sir pe itna oil aata hai ki me daily head wash krun to bhi oil aa jata hai. So, this oil can be realted to a disease or may not be a disease related. Agar iske bare me apke pas jankari hogi to aap ek decision le peyenge whether you can manage on your own or you require the help of a doctor.

No.1: unki complaint hoti hai ki hair oily ho rhen hai jiske karan vo chip-chipe ho rhen hain. No.2: mere sir pe bhut papdiyan hain jinke karan itching ho rhi hai or acne ho rhen hain and hair fall bhi ho rha hai. No.3: scalp me bhut jyada papdiyan hain or agar me unhe nikalun to uske sath hair fal bhi ho rha hai. Now I want to talk to you about oiliness of the scalp and in which way the consultation can be done. Suppose you are coming with the oiliness, so the thing is to understand why is this happening. I will make you understand with the presentation. In 2 slides me aap dekh rhen hain ki hair ke sath oil bhi hai or bhut jayad papdi bhi hai. Hmara scalp bhut hi typical hota hai. Scalp is the multi layer skin. Sebaceous gland ki jo granthiyan hoti hain, hum uske bare me baat kar rhen hain. Hair ki roots hmare scalp ki tight skin ke sath attached hoti hain. Agar apki scalp me redness aa rhi hai to vo khrab ho rhi hai. Hum ise scalp disorder ke naam se jyada smjh skte hain. Agar aap kisi bhi skin ya hair treatments ke lia to vo apke hair pe jyada focus krti hain. But ye apka scalp disease hota hai.

Or agar ye disease badh jaye to apke hair bhi effect hote hain. So, now I am going tell you about ki aisi konsi chiz hai jisko aap khud control or manage kar skte hain. Aap ye bhi decide kar skte hain ki kab apko doctor ke pas jana chaiye. To baalon ki jitni bhi stages hain oil ki, usko hum 2 stages me lenge. Ek hogi normal physiological and dusri hogi disease wise. Normal physiological changes bhut high temperature, sweating, hormones imbalance, ovulatory periods and males me androgenic changes and muscles mass badhane ke lia drugs lete hain, blood pressures ke drugs, epilepsy ke drugs, ye sab oil produce kar skte hain. Ye oil apko kuch time pehle se hi nikal rha hoga. Isko normally aap bhut ache se manage kar skte hain. Dusri condition aati hai jiske lia apka doctor se milna is very important. This conition is called sebaceous gland overactivity with a fungal infection or seborrheic dermatitis.

Ek or condition hai jise hum psoriatic condition kehte hain. In dono cases me bhi sir pe papdiyan hoti hain. Ye papdiyan and oil simple nhi hota hai. Ise aap shampoo ya fir kisi parlour me jake manage nhi kar skte hain. It required a medical therapy. But physiological oily scalp ke lia aap khud kaise manage kar skte hain, usme me aapko help krunga. No.1: Aap natural products jo market me available hai us se ise treat kar skte hain jaise apple cider vinegar. Iske use se aap oily scalp ko control kar skte hain. Isko directly aap apne sir pe lga len. Uske kuch ghante baad head wash kar len. Week me 3-4 times aap ise use kren. Next way is by using tea tree oil. Is oil ko me pichle kuch saal se use kar rha hun or iske results bhi mene bhut ache se dekhen hain. Lekin ise use krne ke lia hmesha essential oil len. Isko use krne ke lia aap kisi bhi shampoo me iske kuch drops daal ke, sir pe ache se use kar skte hain.

Shampoo ko 5- mins chor den. Aisa week me 3-4 baar kren. 3rd choice is micro-bio filler powders hote hain. Ye raat me use krna chaiye or morning me head wash kar dena chaiye. Or ise bhi me apne clinic me kafi time se use kar rha hun. Lekin kuch conditions me aap ise use nhi kar skte. Psoriatic scalp jisme baal sukhte hain. Isme agar aap ye powder use krte hain or excessive shampoo use krte hain to apke hair girenge. Last part of my adice is kab apko doctor se help lena chaiye or kab aap khud manage kar skte hain. When you require the doctor's help is a tricky question. Jo bhi abhi mene apko solution dia hain ye mere 18 years ki practice hai.

They are very genuine or jruri nhi hai ki sari chizen aap use kar payen. Koi bhi question ho to aap mujhe personally mere clinic pe Lucknow, Delhi or Mumbai me aap mujhe contact kar skte hain. Mere staff se bat kr skte hain ya mujhe directly email bhi kar skte hain. Aap ye yaad rkhen ki jo mene advice di hain isko aap directly use kr k result ache expect nhi kar skte hain. Jab bhi aap use kren to thode area pe hi use kren. Apni responsibilty pe use kren or iska result dekhne ke baad pure head pe use kren. Meri responsibility pe ayenge to me apko jrur cure krunga. Mee sath jude rehne ke lia thank you. Jaisa ki mene apko apne topic me bta dia ki kis dhang se baalon ka istemaal hona chaiye and kaise advices ko follow krna chaiye. Agar apne inko dhang se istemaal kia to apko bhut help hogi. Lekin jis condition me apko medical help ki jrurat ho ya koi mushkil ho smjhne me to iske lia aap mujhe contact kar skte hain.

Lybrate ke through aap mujhe directly contact kar skte hain ya mere clinic aa skte hain. And I am sure ki itni bhi tips mene apko di hain, ye apke lia bhut useful ho. Apne freinds ko bhi recommend kren iske bare me. And I am sure that I will come back with new videos and with the new topic. Thank You.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Oily Hair treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details