Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jun 24, 2023
BookMark
Report

Old Traditions

Profile Image
Dr. Sanjeev KumarPediatrician • 28 Years Exp.MD - Paediatrics, MBBS
lybrate_youtube

Main Dr. Sanjeev Kumar.

Fareeda bad se Aj hum log discuss karein gy k hamari jo purani param parain hain, kya wo sahi hain?, ghalat hain? Q k hamari jo nai generation hai wo purany bat ko sunny ko tyar nai. Jo bary log hain wo nai bat ko accept krny ko tyar nai. Per main apko bta dn k jo purani param paraiyan hn bilkul logical bilkul sahe hain, bht had tk. Jaisy jb bacha paida hota h to sb sy important hai k kbi us ko naya kapra nai pehnaya jata. Q? Q k jo kapra purana, dhula hua, dhoop main sookha hua, 70-80% bacteria to aisy e mar gya. Or wo soft b hota h. bachy k lye acha hota hai. To ye jo param para purany kapry pehnany ki hai wo bilkul saeh hai. Dusri bat, bachy ko ma aka dudh pilaya jata hai. Is koi wo if and buts nai hn. Dusra chatty din, chatti mania jati hai. Scientifically bilkul sahe chatty din he, mtlb 6 din tk narroo gir jata hai, navi main jo clamp lgta hai. Wo gir jata hai. Usi din k bad nehlana chahye, scientifically bilkul sahe hai, or us din k bad. Usi din ek param para hoti hai. Bht sari chezain bnai jati hain, maa ko khany k lye. Bary b bnay jaty hn. Puri b bnai jati hai, kheer b bnai jati hai, is ka matlb ye hua k maa ko ab to khilao or khilaty rehna. Is din buwaa ati hai. Buwaa ka purpose ye hai k wo apni bhabi ki seewa kary. Jo burhi amaa hai, daddi, wo seewa nai kr skti is lye young buwaa ko involve krty hn. Bhabi ek bakhshish deti hai apni naand ko. Ye ek choti si param para hai. Per bht logical hai. Dusri ek param para hai pury bharat main k jis ghr main bacha paida hota hai. Wo log kbhi kisi k ghr jaty nai hain. Na un k ghr koi ata hai.scientifically bikul sahe hai. Ery ghr main ek bacha paida hua. Wo bhagwan paida hua, mje kisi k ghr nai jana. Je apni wife ka or apny bachy ka dehan rakhna hai. Or ek ue param para k jis ghr m bacha paida hota hai us kamry m log ghusain gy b nai. Gaon main purany param praon main kya hota hai, upply jata dety thy, neem k patty latka dety thy, is ka mtlb ye hota tha k us ghr main koi jaye ga nai. Agr kisi ko jana hai to proper phly hand wash krna hai pair wash krna hai. Upply main hath sukhanahai phr jana hai andar. Scientifically bilkul sahe hai. Or ye param para 40 din tk hoti hai. 40 din tk q? q k 40 din tk jo bacha dani hoti hai, maa ka uterus, 4o days tk involuate kr jati hai, choti c ho jati hai, wapis utni c ho jati hai. Isi period main maa ko bleeding hony ka dar rehta hai. Isi time main maa ko kahein baher ghumna nai chahye. Ghr waly kahein baher na jana chahye. Maa or bachy ka dehan rakhna chahye. Log kehty hain suttar lg jata hai. Ye bilkul sahe hai, maa bacha allag hony chahyen. Rest krna chahye, or in logon ko kahein or baher nai jana chahye, q k family member, ghr m ain gy log, wadhaiyan dn gy. Koi note dy ga, koi paisy dn gy, or sb log ap k bachy ko disturn krn gy. Sb sy important, note dn gy, beemar krny wala kam, infection dn gy. To mera ye man’na hai k hamari jo purani param parain hain wo mota moti thek hain. Hm ko us ko follow krna chahye. Or ye jo param para kajal lgany ki hai, kajal to ek bahana hai, boo any ka, kajal ankhon main nai lgana chahye, q k ankh or naak k bech main ek nalli hoti hai. Us nalli sy ankhon ka extra pani naak k through beh jata hai. Jb hm kajal lga dety hain to wo cheedh bband ho jata hai or ankhon sy extra pani behta hai. Is k liye hamein kajal nai lgana chahye. Baki jo param parayin hain hamari wo bilkul sahe hain.

RELATED SPECIALITIES

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Child Growth Management treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details