Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Osteoarthritis Of The Knee Joint Or Knee Replacement

Profile Image
Dr. Darsh GoyalOrthopedic Doctor • 22 Years Exp.MS - Orthopaedics, MBBS Bachelor of Medicine and Bachelor of Surgery, Fellowship in Joint Replacement, MCh (Ortho)
lybrate_youtube

Hi,

I am Dr. Darsh Goyal, Orthopedist. Aaj hum baat karenge osteoarthritis of the knee joint or knee replacement ke baare mein. Knee humari body ka bohut important part hai because of humara pura weight iske upar aata hai. Ek normal knee joint mein upar ki haddi hoti hai jise hum femur kehte hain, ek niche ki haddi hai jisko hum tibia kehte hain. In dono haddiyon ke joint ko knee joint kaha jaata hai. Ye jod ek jhilli noma se cover hota hai jise hum cartilage kehte hain. Inke bich mein ek meniscus hota hai. Ye aapas mein haddi ke ragadav ko rokta hai. Osteoarthritis is cartilage ka distortion hina shuru h jaata hai. Jis se haddi mein ragad aati hai jise hum osteoarthritis kehte hain. Iski problem dheere dheere develop hoti hai. STarting mein halka halka gisav aata hai fir cracks aane shuru ho jaate hain or fir puri tarah nashat ho jaati hai. Haddi ki ragad se humein dard aata hai. Jab bhi patient aata hai and kehta hai ki knee mein pain haii to uska pehla question hota hai ki osteoarthritis ke karan kya hain. Iske kayi karan ho sakte haian like hereditary ek karan hai. Iske alawa hemophilia, infection, overweight. Weight jayada hone se ghisav bohut jaldi hota hai. Jis se cartilage bohut jaldi destroy hoti hai.

Aur bhi kayi karan hai jaise ki osteoporosis, calcium ki kami hona, thyroid ki problem, diabetes, ye sab treatable karan hote hain. Fir iske symptoms ki baat karte hain friends. Kaise symptoms gradually develop karte hain. Iske lakshan bohut dheere dheere develop hote hain. Jameen pe baithna, althi palthi marna, bohut der tak baithne ke baad khade hona. Aise patients mein jyada taklif and preshani aati hai. Lekin normal chalne mein patient ko itni jyada preshani nahi aati hai. So, grade 1 & 2 ke symptoms ye hote hain. Patient ko normal walk mein bhi problem aani shuru ho jaati hai. Patient slowly apni sari activities karne mein preshani feel karta hai. Advance cases mein bed ridden ki bhi naobat aa sakti hai. Patient ki hum investigation karte hain x-ray se. Iske 4 grades hote hain. Garde 1, 2, 3 & 4. Grade 1 mein x-ray mein bohut jyada changes nahi aate hain. Garde 2 mein haddi ghisani shuru ho jaati hai. Grade 3 mein ghisav jyada hone se side mein chonch nikal kjaati hai. Grade 4 advance arthritis hai jismein haddi tedi and ghisav bohut jyada hota hai. Grade 1 & 2 curable hai. Ismein patient ko jyada symptom nahi hote hain and agar hum kuch simple tarike apnayein toh patient vapas pre-level activity pe aa sakta hai. Hum patient ko exercises karne ke liya advice karte hain. Pani ki garam bottle se sekayi hum suggest karte hain.

Weight reduction bohut important hai jis se patient ko kafi relief aata hai. Kuch medicines claim karti hai pain relief ka lekin vo garde 1 & 2 mein hi kam karti hain. Grade 3 & 4 mein inka koi use nahi hai. Grade 3 & 4 ka ilaj sirf operation hai. Ismein koi medicine help nahi karti hai. Kuch log medicines ko over use karte hain jis se medicine ka side-effect liver and kidney pe aata hai. Knee replacement ko knee surfacing kehna chahiyai. Kyuki ismein hum knee ko resurface karte hain. Ismein ek type ki polythene daali jaati hai jis se haddi ka ragdav band ho jaata hai. Patient lubricates gels bhi use kar sakte hain operation se pehle. Kafi patients mein inka beneficial effect bhi aata hai. Is se knee ke andar ki fluid ki density badh jaati hai. Ghutne mein ghisavat ka process slow ho jaata hai aur life lambi hoti hai. Ye bhi grade 1, 2 & 3 tak hi effective rehta hai.

Patients ko myth rehta hai ki operation ke baad kya vo chal payenge ya nahi. Patients kehte hain ki aur koi treatment bta do lekin knee replacement nahi karana hai. Ye dharna bilkul galat hai. Kyuki knee replacement kafi advance stage pe hai. Iska success rate 95-98% hai. Almost, 20L per year knee replacement kiya jaate hain. WHO ki famous line hai ki movement is life and life is movement. Knee replacement mein koi darr vali baat nahi hai. Is se humare ghutnon ki alignment bhi correct ho jaati hai. Tedhe ghutnon ke karan patient ki chaal mein kafi frak aa jata hai. Jis se spine pain aana shuru ho jaata hai. Pain hip mein aana shuru ho jaata hai. Humari overall body better feel karti hai. Like agar humari car ka ek tyre khrab ho gaya hai and humne use replace karane ki bajaye garage mein khada kar dia hai. Jis se uska engine bhi khrab hona shuru ho gaya hai. Usi tarah humara sharir hai. Agar hum apni movement band kar denge toh humari body ke dusre organs bhi effect hone lag jaate hain. Hum depression mein jaane lagate hain. So, I will conclude by saying, movement is life and life is movement. Surgery se dariye mat. Befikre hoke is operation ko apnaiye. Khush rahiye, sawasth rahiye.

Thanks!

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Osteoarthritis treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details