Pain Management And Home Based Treatments
Hi,
I am Dr. Rita Ambawatta, Ayurveda. Aaj mai aap ko pain management aur ghar mein kaise chote chote upchar kar sakte hai, iske baare mein discuss karungi. Dr ke pass jaane se pehle agar ghar mein hi aap upchar kar lein toh vo better hota hai. Immunity ko boost karna chahiyai. Iske liya hum bheege badam le sakte hain, chamanparasha le sakte hain dudh ke sath, iske alaw bheege munaka aur agar bache ko munaka pasand hai toh use dhudh mein dia jaa sakta hai. Ye bachon ki immunity increase karta hai. Sath hi ye appetizer ka kaam karta hai. Ghar ka bana khana, sath hi hari saag sabaziyanjyada benefot karta hai. Processed food bachon ka naa dein. Agar bacha bolta hai ki mujhe kaan mein dard hai to aap ko is situation mein kya karna chahiyai? Dr ke pass imeediately jaana chahiyai? Kaan mein wax bachon ke jam jaati hai jiski vajah se kaan mein pain hota hai.
Uss condition mein kya karna chahiyai? Aise time mein aap til ka teal karchi mein daal ke, adha karchi til ka teal, sath hi sath usmein garlic aur chita chamach ajwain ubaal lijiye. Garlic brown hone ke baad thanda hone ke liya rakh dijiye. Uske baad air tight jaar mein rakh dijiye. Jab bhi pain ho, tab aap ise use karein. Ye oil once in a month aap use kar sakte hain. Jin logon ko tinitus ki dikkat hoti hai ya ringing problem hoti hai, agar vo once in a month use karein toh unke liya bhi benefit hota hai. Dusri baat jab bachon mein common cold hota hai, ye immunity kam hone ki vajaha se hota hai, agar ise control na kiya jaaye toh aage jake allergic rhinitis mein convert ho jaata hai. Is condition mein immunity ke sath kya kar sakte hain aap? Situplasi churan chota chamach lijiye, shehad mein milake jab subha sham cold ho tab le sakte hain. Turant anti-biotic ki taraf na bhaag ke, aap agar ghar mein hi ye upchar kar lenge, toh bache ki immunity bhi bani rahegi aur sath hi sath effect bhi aa jayega.
Jin logon ko migraine ki problem hai ya headache hai toh usmein kya kar sakkte hain. Aise logon ke liya bhrami ghee hota hai ya gaaye ka shudh desi ghee hota hai, vo aap halka garam kar ke naak mein 2 boond daalein. Roz raat ko agar aisa kiya jaaye toh aap ko acha benefit hoga. Is se aap ka nervous system relax rehta hai. Sinus ki jise problem hoti hai, uske liya ye bohut hi acha upchar hai. I hope jo maine aap ko chizen batayi hain, us se benefit ho.
Dhanyawad!