Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Panchakarma - Things To Know About It

Profile Image
Dr. Ruchi SinghAyurvedic Doctor • 15 Years Exp.Bachelor of Ayurveda, Medicine and Surgery (BAMS), MD- Ayurveda
lybrate_youtube

Hi,

I am Dr. Ruchi Singh, Ayurveda. Ayurveda mein ek important part hai panchakarma. Logon ka question hota hai ki panchakarma ka process kya hai, kya time lagega. Toh iske baare mein hum aaj baat karenge. Panchakarma mein bahut sare process hote hain, mainly vaman, virechan, vasti, nasaya rakht mokshan. Iske alawa usmien keraliye panchakarma hota hai jismein shirodhara, nasaya aur kayi tarike ki tachniques hoti hain aur therapies hoti hain. Ye therapies har medical condition ke lia alag alag hoti hain. Therapies ka cost and timings patient to patient ki condition pe vary karta hai. Jaise knees ke lia jaanuvasti bahut acha kam karta hai. Internal vasti mein humein medicines deni hoti hai.

Jannuvasti ek tarah ki oil ki sekayi hoti hai jo aap ke ghutnon pe ki jaati hai. Us se pehle ek massage hota hai aur ek steaming process hota hai. Ismein time bhi kam se kam 30-40 minutes ka lagta hai. Is tarah har disease ke lia alag alag process hote hain. Nasya aap ke migraine ya naak se related jo aap ke disorders hote hain like rhinitis ya fir DNS ya koi allergic condition hai even baal jaldi safed ho rahein hain ya fir baal gir rahein hain toh aise mein nasya bahut help karta hai. Nasaya ek process hai jismein timings matter karti hai like humein subha dena hai ya sham mein dena hai, kitni drops deni hain aur konsi medicines use karni hai. Sab chizen uske anusar vary karti hai.

Toh panchakarma ek din ka process nahi hai. Puri medical condition ke according treatment dena hota hai. History decide karne ke baad hi treatment plan kiya jata hai. Har kisi ki sittings different hoti hai as per the condition. Panchakarma healthy patients bhi le sakte hain taki aage koi problem na aaye jaise kisi ka stomach upset hai to hum virechan aur vasti therapies de sakte hain. Agar kisi ko nind nahi aati hai toh shirodhara diya jata hai. Is se aap ka anxiety and stress release hota hai. Abhayang ek kerelian massage hai. Ye muscles stress and stiffness ko release karta hai. Hum steam bhi dete hain jo 15-20 mins ka hota hai. Ismein medicated aoshdiyan hoti hain. So, panchakarma ek procedure nahi hai. Ismein kayi sare procedures hain jo alag alag hote hain har patient ki condition ke according.

 

Thank You!

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Detoxification treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details