Phases Of Hair Transplant
Hello Friends,
I am Dr. Rakesh Jangra, Dermatologist. Aaj hum phase of hair transplant ke bare me baat krenge. Before and after transplantation kya phases hain. Transplantation ke baad ke baad jo baal hum lgate hain vo 2-2.5 months me sare jhad jate hain. 2-2.5 months ke baad hair grow hote hain. Nye baalon ki growth slow hoti hai as comparing to other hair over the scalp. 6 months take uni full length aa jati hai. Lekin jo new hair ayenge vo thode curly honge. Vo jyada mote nhi hote. Uske baad 6-12 months tak unki growth better ho jati hai. Hair ki density badh jati hai. Hair transplant kafi lambi surgery hai.
Patients ko patience ki jrurat hoti hai. Iska dhyan rkhna hai and care krni hai. Apko medications apply krni hoti hain, khani hoti hai jo apko di jati hain. Agar aap guidance me treatment lenge to apki growth achi hogi. Patient ke question hote hain ki headache to nhi hoga, koi infection ke chances to nhi hain. So, we ensure by giving anti-biotic a day before and 2 hours before starting of the surgery. Jis se infection ke chances 0% ho jate hain. Apko johnson baby shampoo se head wash krna hai.
Uske baad jo hair apko dikhte hain vo sare jhadna shuru ho jate hain. Is se apko ghabrane ki jrurat nhi hai ki apke sare paise waste ho gye hain. Ab jadon se apke new hair ki growth hogi. And day by day hair growth achi ho jayegi.
Dhanywad!